kisi k hissay mein ghar

kisi k hissay mein ghar
kisi k hissay mein ghar aya kisi k hissay dukaan aee

mein sub say chota tha meray hissay mein MAA aee
  

Jun, 02 2010     105 chars (1 sms)     2686 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

tum q badal gaye ho ye herat ki bat hy.

mohsin

tum ko to meri zat se gahra lgao tha,,,
Dunya Main to koi ore bhi Ho ga teray jesa
Per Hum Tujhay Cahtay Hain Teray Jeson Ko Nahen
Is Se Bhar Kar Apnay Itezar Ki Kya Misaal Doon

FARAZ

K Marne K Baad Bhi Ankhain Khuli Raheen
na chahte hue bhi didar ho gaya,
tujhe dekha to mujhe pyar ho gaya.
socha na tha ki manzar ajib hoga tumse milkar,
par khuda ne tujhse milakar mausam rangeen kar diya.
Ek Lamha Lagta Hai

Zindagee ki raahon main
Ek lamha lagta hai
dil kisee pay anay main
mujh ko bhi mila tha woh
jis ko dekhtay hi dil
betahasha dharka tha
mujh se keh raha tha woh
tum se pyar hai mujh ko
muskura kay main nay bhi
phool le lia us say
haath haath main le kar
pyar kay ata karda aasman pay hum dono
chahtay thay saath urna
aasman pay jeevan bhar koi urr saka hai kia ?
haath haath se choota
Ek sitara jo toota
tab khabar hui mujh ko
Ek lamha lagta hai
dil kay toot janay main
aur Umar lagti hai
kirchian uthanay main
Tere wahdoon pe hum jite rahe
Aur tu ne wahda toor deya
Phir akhir wohi kiya tu ne humain
Beech bhanwar main choor deya
Badd gumaan na ho hath uthanay say
Ham taray haq main Duaa kartay hain
Meri Taqdeer Se Pooch Meri Qismat Ka Faisla.

Meri Muskurahat Pe Na Ja Mere Dard Ko Talaash Kr.

Meri Aankhon Se Pooch Mere Intizaar Ki Inteha.

Mere Itminaan Pe Na Ja
Mere Sabr Ko Talaash Kr.

Mere Pyar Se Pooch Mere Pyar Ka Aalam.

Meri Soorat Pe Na Ja Meri Seerat Ko TALAASH Kr..
Tum nay murjhaye hoye phool kabhi dekhain hain?
dil ki kabroon per paray
hijr ki lash ki aankhon pe dharay
tum nay uktaye hoay khawab kabhi dekhain hain ?
dard ki palkoon se liptay hoay
ghabraye hoay
tum nay bechain duain kabhi dekhi hian?
muhabat ke kinaroon per bhatakti phirti
tum nay dekha hai mujhe?
kia kabhi dekha hai mujhe..??
Jab say teri chahat apni zindagi bana li hai
Hum nay udas rehna adapt bana li hai
Her din har raat kati hai teri yaad mein
Teri yaad hum nay ibadat bana li hai
woh barsaat
jis ke intizar main bara maah guzre
kaali ghataa chaane ke baad
poora samaa jhal thal ho gya
pattay bheege
phoolon ne bhi ghusal kia
per mere honton ko
us aek katray ki pyas rahi
jo teri zulf se ho kar
tere rukhsar pe bahay
aur jab wohi aek katra
teri ghulab ki pankharion
se labon per aa ke thehray
apni barson ki pyas bhuja loon
teri aankhon ko choom loon
tere sapno main ashiyana bana loon
tere labon ko choo loon
teri har baat ammar kar doon
tere ghulabi rukhsaron per chehra laga ke
kisi dhoop main chaon ki manind
umer guzar doon
tera wajood orh loon
kahe to zindagi tere naam kar doon
hay baad-e-marg bhi yaaro wohi tafreeq ka aalam...

na qabrein aik jaisi hain,na katbay aik jaisay hain...!