Bherkaain Meri Pyaas Ko Aksar Teri Aankhain
Sehraa Meraa Chehraa Hay Samundar Teri Aankhain
Phir Kon Bhalaa Daad-E-Tabassum Inhain De Gaa
Royengi Bohat Mujhse Bicher Ker Teri Aankhain
~*~ woh...mujhe mila hota ~*~
aasmaaN ke malik say
do jahaN ke raziq say
aur kuch nahin chaha
sirf itna manga hai
pur-khuloos chahat ka
bay reya muhabbat ka
bay panaah rayazat ka
itna to sila hota
woh...mujhe mila hota
kisi k u bicharnay say
kisi k yaad anay say
buhat say loog rotay hain
k rona aik rewayat hai
rewayat toor jata hon
tumhari yaad anay per
main aksar muskarata hon
Wo Aam Si Sham Thi Jab Juda Huy Ham
Na Toot Ker Pyar Ker Sake Na Ro Sake Ham
Wo Bhi Din Thay Roz Mila Kerte Thay
Yeh Bhi Din Hai K Milne Ko Taras Gaye ham
Aj December ki pehli shab hai
Khanak khanak see
Sard sard see dhund alood
Beetay dinon ki saari batein
Aik aik kar k zehan k
Dareechon say jhank
Rahi hain
Kahin pay manzar bhag rahay hain
Kahin par muqadar jag rahay hain
Har aik lamhay ko khoj rahay hain
Aisay lamhon mein kuch deewanay
Beetay dinon ko soch rahay hain