SuNooo

SuNooo
SuNooo
December Ki Thatharti Hoi Shamien

Kohar Mein Lipti Dhundali Se Subhien

Darakhto''n Se Girtey HuayKhushk Zard Pattey

Woh Gao''n Ke Tama''m Raste

Mohabbato''n Ke Tama''m Rishtey

Khiyaal Abad Karte Hain

Tumhein Sab yaad Karte Hain !
  

May, 28 2010     256 chars (2 sms)     2236 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Ishq karnay kay bhi kuch aadab hotay hain
Khule ankhoun main bhi kuch khuab hotay hain
Har koi roo kay dekhai yeh zarori to nahi
Khushk ankhoun main bhi selaab hotay hain...
Tanhaio Ko Bhula Deti He Yaade Yaado Ki Kami Nahi Hoti
Chahat Ki Duniya Me Qadam To Rakho Chahne Walo Ki Kami Nahi Hoti
Zara Udas hoon Lekin Zara
Masroor bhi hoon...

Tumharay paas hoon
shayad,shayad Door bhi
hoon...

Yoon Pathreelay Raston Pay
Chalna Shoq nahi Mera..;

Kuch Muaamla Chahat ka hay
Kuch Majboor bhi hoon..

Mohabbat Ho Gai Tum say Bus
itni Khata hay Meri...

Mana k Mujrim hoon Magar
BayQasoor bhi hoon...
Sono

tum ne kaha tha,

tum meri zindagi hu.

chalo

ub bata do

tum zinda kase ho...
Suno !!
Tum say miltay bhi to kaisay miltay''
Go kay manzil door to na thi

Maghar

Kabhi raaston ne bhatkaa diya
Kabhi mousamon ki nazar lagh gayi
Kabhi kisi majboory ki zad main aa gay
Aur kabhi muhabbat hi nahi rahi.. !!!
Pehlay Trasha Us Ne Kanch Se Mera Wajood....

Phir Shehar Bhar K Haath Mein Pathar Thama Diye . . .
Kisine Na Samjha Hume
Kisine Na Jaana Hume
Aapse Ki Mohabbat
Aapne Bhi Na Pehchana Hume
Hans k Runj-o-Musibat
Ko Saha Hy Hum Ne

Is Umeed Per k Kal Aaj
Se Behter Hoga ... !!!
UMEED kay MOOTI Arza’an hain, DARVAISH ki JHOOLI khali hay
PHOOLO’ON kay Mehktay Daama’an mein, DARVAISH KI JHOOLI KHALI HAY…!!!
Ham ko maloom hai kaya dast e hinaie de ga
qurb boyen ge to fasl e judaie de ga
aankh neelam ki jism kaanch ka dil pather ka
apny shaahkar ko kon itni safaie de ga
Zameen par hai magar aasman jaisi hai
Woh narm narm see larki chattan jaisi hai
Meray haroof bhi jhootay hain meray jazbay bhi
Meri kahani bhi saray jahan jaisi hai
Yeh shaam mil k bicharnay ka ista-ara hai
Yeh raat hijar k kalay nishaan jaisi hai
Hawaein roz bhujaati hain khuwahishon k diye
Yeh zindagi bhi andheray makan jaisi hai
Mein apnay sath hoon ya koi dosra hai ZIA
Yaqeen ki yeh ghari bhi gumaan jaisi hai
Masroof Hain Din Raat Unhain Waqt Kahan Hai
WO Karain Humse Baat Unhain Waqt Kahan Hai
Wo Ponchain Meri Aankh Se Behte Hue Aansu
Ae Ronaq-E-Bersaat Unhain Waqt Kahan Ha