Tum paas hoty tou koi shrarat krty,

Tum paas hoty tou koi shrarat krty,
Tum paas hoty tou koi shrarat krty,
Tujhy le kr baanho''n mein
"Mohabbat" krty,

Dekhty teri aankho''n mein neend ka khumar, Apni khoi hui neendo''n ki
"Shikayat" krty

Teri aankho''n mein apna aks dhondty, Khud se b zyada teri
"Chahat" krty

Jis ki hukumat thi us k ghulam thy,
Qabeely mein dost kis se "Baghawat" krty

Ek dil hi tha wo b us k pas tha,
Raat bhr jaag kr kis ki "Hifazat" krty

Mere mazhab mein shirk haram hy
Wrna Qasam khuda ki teri "Ibadat"krty
  

Jun, 01 2010     481 chars (4 sms)     4510 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Tumhi Dekho Na Yeh Kia Ho Gaya,
Tumhara Hu Main Aur Tum Meri.................
Tu WOh Zalim Jo Dil Mein Reh Kar Bhi Mera Na Ban Saka ''Ghalib''!

Aur Dil Wo Kaafir Jo MuJh Mein Reh Kar Bhi Tera HOgaya~!!
Rakhty Hain Jo Oroon K Liyeh Pyar Ka Jazba





Woh Log Toot Ker Kabhi Bikhra Nahi Kerty
Ulfat Me Kabhi Yeh Haal Hota Hai
Aankhe Hasti Hain Aur Dil Rota Hai
Maante Hain Jinhe Hum Manjil Apni
Humsafar Uska Koi Aur Hota Hai!
Woh Aksar Mujhse Kehta Hai K,

Tum Be-hadd Shor Machati Ho,

Jab Pyaar Se Mujhe Bulao Gey,

Tab Dorr K Mein To Aaon Gi

Tab Paayal Meri Chankay Gi,

Paayal Ka Shoor To Ho Ga Hee!

Jab Meri Kalaai Pakro Gey,

Tab Choori Meri Khankay Gi,

Jab Choori Meri Khankay Gi,

Choori Ka Shoor To Ho Ga Hee!

Jab Aankh Teri Dumkay Gi,

Jab Jazbay Shoor Machein Gey,

Jazboon Ka Shoor To Ho Ga Gee!

Mere Jhumkay Se Jab Tum Kheelo Gey,

Wo Gaal Ko Meri Choomain Gey,

Bey Chain Se Tum Ho Jaoo Gey

Ik Lehar Uthay Gi Seenay Mein!

Us Lehar Ka Shoor To Ho Ga Hee!

Wo Aksar Mujhse Kehta Hai

Tum Bey Hadd Shoor Machati Ho!
Is Aane wale "SaaL" Ka Naam Bhi Hum Ney To.....!



TEri "Yaadon"Ka SaaL Rakha Hai...,.!

Bheed Main Ek Ajnabi Ka Saamna Acha Laga
Sab Se Chup Ker Wo Kisi Ka Dekhna acha Laga


Surmayi Aankhon K Neeche Phool Se Khilne Lage
Kehte Kehte Wo Kisi Ka Sochna Acha Laga

Baat Tou Kuch Bhi Na Thi Magar Uska Ek Dum
Haath Ko Honton Pee Rakh Ker Rokna Acha Laga

Dil Main Kitne Ehad Bandhey Thay Bhulaane K Liye
Wo Mila Tou Saare Iraade Todna Acha Laga

Is Adoo-e-Jaan Ko Kaise Main Bura Kahoon
Jab Bhi Aaya Saamne Wo Bewafa Acha Laga
Khusbu Se Hawaon Se Bhi Miltay Nahi Kuch Log

Mossam Ki Adaon Se Bhi Miltay Nahi Kuch Log

Mil Jaye Tu Jevan Ko Saja Detay HAin Laken

Bicherain Tu Duaon Se Bhi Miltay Nhi Kuch Log..
so baar mrna chaha nigahon mein doob kr"jana"

woh nigahein juka leta hai humain mrnay nahi deta..
ULjhano Ka Ye Mosm Badal B Sakta Tha
Wo chahta To Mere Sath ChaL B Sakta Tha

Wo Shakhs Jis Ne Mujhe Chorne Me JaLdi Ki
Men Us K Mizaaj K Saanche Me DhaL B Sakta Tha

Wo JaLd Baaz Khof-Zada Ho K ChaL Diya Werna
Tamam MasLon Ka Koi HuL NikaL B Sakta Tha

Anaa Ne Hath Uthane Nahin Diya Werna
Meri Dua Se Wo Pathar PighL B Sakta Tha... ;->
Phool Khushboo Ke Nashe Main Bikhar Jate He
Log Pehchan Banate Banate Marjate Hein
Maanzil Un Ka Hi Mukkadar Hoti He Talab Ho Jinko
Be Talab Log To Manzil Se Ghuzar Jate Hein
Bhool Jaun Usse Kaisi Baat Karte Ho...


Kabhi Din Ne Bhi Aaghaz Kiya Hai Suraj Ke
Bagair.