Dil ki Taak pr Diya Jalane Aaun ga,

Dil ki Taak pr Diya Jalane Aaun ga,
Dil ki Taak pr Diya Jalane Aaun ga,

Main Tumko kuch Yaad Dilane Aaunga,

Mere Dard ko Tum bhi na Seh Pao ge,

Apne Aansu se Tumhe Rulane Aaun ga,

Shoq Bohat Tha Jin Galyon Me Basne Ka,

Wahin Pr ek Din Khaak Uraane Aaun ga,

Mere Tum se Kese Kese Rishte Hain,

Tumko ek Baar or Bataane Aaun ga

Bujh B Jaen gi Ye Sansen Phir B Main,

Roz Tumhare Naaz Uthane Aaun ga,

Jeetne Dunga Tumhe Hr Bazi or Phir,

Apni Haar Ka Jashan Manane Aaun ga... O_o
  

Jun, 01 2010     471 chars (3 sms)     2707 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Koi es tarah say meray sath adawat tu karta
Qaid kar leta mujhay aur hakumat tu karta
Meinay yeh kab kaha tha k woh sab ko chor day
Woh apnay andaz say karta par mohabbat tu karta
AMANAT..

Dil Ki Basti Bikhar Gayi Hoti
Ke Rooh Ke Zakhm Bhar Gaye Hote...
Yeh Zindagi To Aap Ki Amaanat Hai Warna
Hum To Kab Ke Mar Gaye Hote..
Mat dy hmain khush rehnaY Ki Dua ''m0hsiN''

hm khushian Rakhtay nahi,Baant dia krty haiN
Har ek se achi baat karna FITRAT hai hamari,, Har ek khush rahe ye HASRAT hai hamari,, Koi hum ko yaad kare ya na kare,, Har ek ko yaad karna aadat hai hamari...
Guzray Huay Taweel Zamanay Kay Baad Bhi
Dil Main Raha Woh Choor Kay Janay Kay Baad Bhi
Pehlu Main Reh Kay Dil Nay Dia Hai Bohat Faraib
Rakha Hai Us Ko Yaad Bhulanay Kay Baad Bhi
Do chezeen meri jisam k sath nai.

ek mera dil or dosra dard
Tujhy bhul jaon ye koshish kr k dakhun ga..

wesy daryaon ka ulta behna mumkin nai..
Waqt guzra tu yah malaal howa.
Khatam ak zindagi ka saal howa.
Kitne shiddat say koee yaad aya.
Aaj jeena bara mahaal howa.
Soch ke jheel main gira pathar.
Be sabab mustashirkhyaal howa.
Lo dekhay bohat magar jana.
Koe teri kaha misaal howa.
Yeh Hum Bhi Gawara Kartay Hain,
Yeh Tum Bhi Gawara kar laina.
Ro Ro K Guzari Hai Hum Nain,
Tum Hans k Guzara Kar Laina.
Betabi Hadh Sa Barh Jaye Aur Neend na Aaye Ratoon Ko,
Tou Doub K Meri Yadoon Main Duniya Sa Kinara Kar Laina.
Jis Waqt Janaza Guzray Ga Iss Shakhs Ka Teray Kochay Sa,
Jazbaat Pe Qabo Kar Laina Khirki Sa Nazara Kar Laina.
Sachi hai meri dosti azmake dekhlo,

Karke yaki mujpe mere paas aake dekhlo.

Badalta nahi kabhi sona apna rang,

jitni baar dil kare aag laga kar deklo
Tum tu chand ho jisay sab log yad kartay hain
Hamari qismat tu taron jaisi hai
Yaad to door
Log apni dua k liye hamaray tootnay ki faryad kartay hain
dil dharakne ka sabab yaad aya
wo teri yaad thi ab yaad aya

haal e dil hum bhi sunatey lekin
jab wo rukhsat hua tab yaad aya

bari mushkil se guzara tha ye din aey dost!
phir tera waada e shab yaad aya

beth kar saaya e gul main NASIR!
hum bohot rooye wo jab yaad aya