seena dehek raha hai

seena dehek raha hai
seena dehek raha hai to kya chup rahe koi.
kyoon cheekh cheekh kar na gala cheel le koi.

saabit hua sukoon e dil o jaan kaheen nahi.
rishton mai dhoondta hai to dhoonda kare koi.

haan theek hai mai apni anaa ka mareez hoon.
aakhir mere mizaaj mai kyoon dakhl de koi.
  

Jun, 03 2010     275 chars (2 sms)     3814 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Nasibo''n Me Yeh Daur bhi Dekhna tha,
Khuda Jaane Dunya ko Kia Ho Gaya Ha,

K Maa Ki Muhabbat bhi Khalis Na Rahi,
Jahan Mamta ha wahan DALDA Rahe:-)....
koi mera be toh ho saath nibhaney ke liye
mujhe mangey khuda se apna bananey ke liye

mere ansoo meri palkoon se churaney ke liye
bas wohi ho mujhe siney se laganey ke liye

yoon toh hein chahney waley bahot se duniya mein
nhin hai koi magar saath nibhaney ke liye

din bhar khwab jo tootey the sametey hum ne
phir so gaye naye khwab sajaney ke liye

meri sansoon ki rawani toh faqat dokha hai
haan mein zinda hoon magar sirf dikhaney ke liye!!
Yahi hai zindgi kuch Khvaab, chand ummiiden,

Inhiin khilaunon se tum bhi Behal sako to chalo
Dil lagta nhi he ab tumhare bina
Khamosh se rehne lage he hm tumhare bina
Jaldi laut aao
Ab yahi chah he
Warna ji na sakenge tumhare bina
Tumhe apni yaadon se mitaya na ja saka,
ujari hui zindagi ko basaya na ja saka.
yun to hoti hai roz mulakat zindagi,
Per meri jaan ko Mujhse churaya na ja saka.
Jab apne aap se kat ker jiya hoon jaan-e-Fareed
To phir main tujh se taaluk bahaal kya kerta

Jise badan ki nahin pyaar ki zaroorat thi
Woh badnaseeb tere khad-o-khaal kya kerta?
Kis Ko Fursat Hey


Key Mujh Sey Behas Karey


Aur Sabit Karey


Key Mera Wajud


Zindagi Key Liye


Zaruri Hey....
abr-e-bahaar ne
phuul kaa cheharaa
apane banafshii haath me.n lekar
aise chuumaa
phuul ke saare dukh
Khushbuu ban kar bah nikale hai.n
kabhi khud bhi merai paas aa
meri baat sun mera sath de
jo khalish hai dil sai nikaal ker
mujhai uljhanon sai nijaat de
tujhai sochna mera mashghala
tujhai dekhna meri aarzoo
mujhai din dai apnai khayal k
mujhai apnai qurb ki raat de
main akela bhatkon kahan kahan
ye safer bauhat taweel hai
meri zindagi merai saath chal
merai hath main apna hath de!!
ummiid se kam chashm-e-khariidaar meN aaye
ham log zaraa der se baazaar meN aaye

ye aag havas kii hai jhulas degii ise bhii
suuraj se kaho saayaa-e-diivaar meN aaye
Khud rooth’tay ho zra c baat per magar
Koyi roothay to usay manaaya bhi karo
Aur ki ghalati per hai teri nigah-e-tanqeed
Apnay kisi aitraaf per nigah jhukaaya bhi karo!!!
wohi pyaar hai wohi aarzu wohi dil lagi wohi justaju,

per apne apne maqaam per kabhi tum nahi to kabhi hum nahi...