Chalo Mohabbat ki ik nai Buniyad Rakhtay

Chalo Mohabbat ki ik nai Buniyad Rakhtay
Chalo Mohabbat ki ik nai Buniyad Rakhtay hain,
Khud Paband Rehtay han Tumhain Aazad rekhtay hain,
Hamare Khoon mein Rab ne Taseer hi aisi rakhi ha,
Buriyan Bhool jate hain or Achiyan Yaar Rakhtay hein,
Ye soch kar gustakhi na ho jae Muhabbat mein,
Hum apna har qadam tere qadam k baad rakhtay hein,
  

Jun, 01 2010     305 chars (2 sms)     3007 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Itna Toota Hoon k choone se Bikhar jaonga





Ab Agar aur Dua Doge To marr jaonga
Mujhe Tasleem hai tum ne Muhabbat mujh se ki ho gi,
Zamane ne magar Izhar ki Mohlat na di ho gi,
Mein apne aap ko sulgha raha hon isi tawaqu par,
Kabhi to AAG bharke gi
Kabhi to ROSHNI ho gi.....!
Zindagi


ek hasti hui pareshani hai

haye, kyn zindagi hamari hai
Jissay Tum Zindagii Jano
Tumhain WO Rog Kahta Ho
Kay Jis Nay Khud Hi Chahat Say Tumhara Haath Thama Ho
Wo Apnay Dil Kay Darwaze
Tum Hi Per Band Kar Day To Mohabbat Mar Bhi Sakti Hai
Tumhain Sangsar Kar Nay KO Jo Sang Bantay Loogon Mein
Saba KO Roknay KO Qafal Dalay Dareechon Mein
Kar Kay Band Ghar Kay
Saans Per Pehray Lagay To…
Mohabbat Mar Bhi Sakti Hai
Ye Kis Nay Kah Diya Tum Say
Mohabbat Mar Nahi Sakti
Kay Jab Koi Tumhain Jaan Say Guzar Janay KO Kahta Ho
Aadhi Raah Mein Khud Hi Mur Janay KO Kahta Ho
Wo Apni Bewafai Ka Khud Hi Aitraf Kar Lay To…
Mohabbat Mar Bhi Sakti Hai
Mohabbat Mar Bhi Sakti Hai
yeh zameen ki fitrat hai k her cheez kojazab kr lyti hai.

warna tere ishq main mere ansoun ka alag sumandar hota....!!
Main kahin gum hoon
tum kahin gum ho

phir bhi esa lagta hai
har jagha main hoon

har jagha tum ho.....!!
kucha yon huwa aankhon aankhon se payar ho gaya.

phir yon huwa juda hote huwe dono ki aankhian nam ho gayi.
FoR My All LoVeLy FrIeNdS :-)

¤Jis din band karli Mein ne aankhen.

Us din tumhari ankho se Aansu Barsen ge.

Jo kehte hai k bOhat tang karta hon Mein...!!

Wohi Meri 1 shararat ko Tarsenge.
mujhe ye gham nahi wo mujhse rotha hai wasi..

gham to bus ye he k ab uska khayal kon rakhay ga...
Ab is se bhar k bhalan kia ho ehtiyaat-e-wafa,
Mai tere shehr se guzron, tujhe khaber na karon!

Wo aik pal ko dikhayai to de kahin Mohsin,
Mai jaan ganva ke bhi us pal ko mukhtasir na karoN!
dard ki baarish mae tou dil roz bheegta hai
ai Khuda aaj chahay tou phir se wahi dard ki baraish kar de..
par ek boond khushi ki esmae de de..
wo khusi mai nazro se dekhna chahati hu..
wo kush hai kahi door mujhsae..
bus ye ek paigaam de de..
es ek boond ke sahare mai apni zindagi jee jaungi..
phir chahaye tou umra bhar gam aur dard ki baarish de de..
ik shakhs kar raha hai abhee tak vafa ka zikr faraz.
kaash us zabaan-daraaz ka munh noch le koee...