Beinteha pyar karte

Beinteha pyar karte
Beinteha pyar karte hai hum aap se,
Par ishar na karenge kabhi,
Kuki humne kasam khaye hai ke,
Dubara khud ko ruswa na karenge kabhi
  

Jun, 05 2010     136 chars (1 sms)     2486 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Kash k hum sambhal jate aaghaz-e-ishq se pahle.

dil tu bacha hai wo kub kisi ki sunta hai...
pachli raat ana tha us ne mare khuwab main.

haye us k khayal ne raat bhar sone na daya.
Mohabbat Kia Hai Taseer-e-Mohabbat Kis Ko Kehte Hain

Tera Majboor Ker Dena , Mera Majboor Ho Jana . . .

Kya faaida hua hai ab intezaar karke
Gardish mein aagaye hai..Hum tumse pyar karke
Iss daur mein Wafa ka..Hum karobaar karke
Sunnat nibha rahe hai..Dushman se pyar karke
Un Ko Namoos Bhi, Izzat Bhi, Pazeerai Bhi

Mujh Ko Roney Ko Muyassar Nahi Tanhai Bhi

Apne Hii Haal Pe Hansna, Kabhi Hans Kr Rona

Main Ba-yak Waqt Tamaasha Bhi Tamaashai Bhi
Dil Hii To Toda Tha Kisi Ne Aye Mere Hakeem
Kyon Hua Ke Zakhm Mera Ye La-Dava Nikla

Aaj Hai Apnii Bulandii Par Tujhe Kitnaa“ Naaz“
Isii Zameen Se Yaad Rakh, Hai Aasmaan Nikla...
agar main door ho jaoon
tu palkon ko jhapak daina,
agre aansoo giray koi
samjh lena k wo hu main..


hathaili samnay rakhna
k sab aansoo girain us main,
jo ruk jaye ga honton par
samjh lena k wo hu main..


kabi jo chand ko daikho
to tum yoon muskura daina,
k phir badal bhi a jaaein
samjh lena k wo hu main..


jo chal jae hawa thandi
to aankhain band kar laina,
jo jhonka taiz ho sab say
samjh lena k wo hu main ....


jo zyaada yaad aaon main
toh tum ro lena jee bhar k
agar hichki koi aye,
samajh lena k wo hun main


agar tum bhoolna chaho
mujhe shayad bhulado tum
magar jab saans lena tum,
samajh lena k wo hu main..."
na pakren daman-e-alyaas gardab-e-fana main hum.

k badter doob kar marne se hai jeena sahare ka.
Jab Seenay K Ander
Saans k darya doltey hain
Jab sard hawa main mausam
Chup si gholty hain
Jub aansu palkai''n roltey hain
Jab sab awaizai''n apne apne bister par so jati hain
Tub ahesta ahesta ankhai''n kholtey hain

DUKH BOLTEY HAIN
HAAN!!
DUKH BOLTEY HAIN. . .
Ksi Ki Chah Me Aisa b Kya Srshar Ho Jana
K Apne Raste Ki Ap Hi Dewar Ho Jana
Sada Khalwat Me Apne Ap Se Baten Boht Krna
Or Us k Samny
Chup Surat-e-Dewar Ho Jana
jub kabhi toot kar bikhro to batana mujh ko,

"me tumhen rait k zarron se bhi chun sakta hoon"
Rooth Jane Ki Adaten Na Gai
Dil Jalane Ki Adaten Na Gai

Zakhm Kha Kr B Tujh Se Nam Tera
Gungunane Ki Adaten Na Gai

Pyar Se Jo B Mil Gya Us Ko
Dukh Sunane Ki Adaten Na Gai

Chand Ki, Sharm Se Naqabon Me
Mu''n Chupane Ki Adaten Na Gai

Do Dilon Ko Ujar K Hansna
Ye Zmane Ki Adaten Na Gai

Chand Jesa Hr Ik Hasee''n Chehra
Dil Ko Bhane Ki Adaten Na Gai

Beesiyon Bar Aazma K Hmen
Aazmane Ki Adaten Na Gai

Raat K Pichle Peher Ey Ayaz
Ghr Ko Aane Ki Adaten Na Gai