yeh mumkin hai hamaray darmiankoi
ghalat fehmi bhi na rehti
jo apnay dil mein choti si
khalish hai khatm hojati
bata deta k mujh ko aaj bhi uski zarorat hai
jo is jevan ka hasil hai to bus uski mohabat hai
bata deta k logon ki sabhi baaten fasanay hain
sabhi qisay puranay hain
main keh deta k zara si baat pay yun rothna acha nahi hota
mohabat karnay walon mein
ghalat fehmi to ho sakti hai par jhagra nahi hota
main har ik baat keh deta
khalish bhi dur hojati
main uska hath thamay yunhi uska hum qadam rehta
woh agay hath to karta
wo mujh say baat to karta
Zindagee ki raahon main
Ek lamha lagta hai
dil kisee pay anay main
mujh ko bhi mila tha woh
jis ko dekhtay hi dil
betahasha dharka tha
mujh se keh raha tha woh
tum se pyar hai mujh ko
muskura kay main nay bhi
phool le lia us say
haath haath main le kar
pyar kay ata karda aasman pay hum dono
chahtay thay saath urna
aasman pay jeevan bhar koi urr saka hai kia ?
haath haath se choota
Ek sitara jo toota
tab khabar hui mujh ko
Ek lamha lagta hai
dil kay toot janay main
aur Umar lagti hai
kirchian uthanay main
main ser k bal girra tha gunahoon k bojh se,
dunia smjh rahi thi k sajde main prra hai,,
sajde main jab gya tou logon ne ye kha,
zalim ne etni pee hai k madhosh prra hai,,
MUGHAY KAISE YAKEEN AAYE
MOHABBAT TUM NE BHI KI HAI
TUMHAIN JAB BHI KABHI DEKHA
SADA KHUSH BASH HI PAYA
HAMESHA HANSTE REHTE HO
KABHI ROTE NAHIN PAYA
KABHI GHAMGEEN NAHIN DEKHA
HAMESHA MAST REHTE HO
MOHABBAT KARNE WALON PER KABHI
MASTI NAHIN CHAHTI
KABHI RONAQ NAHIN AATI
NA WHO SARSABZ HOTE HAIN
MOHABBAT KARNE WALE DIL
HAMESHA ZARD HOTE HAIN
TO PHIR KAISE YAHEEN KARLUN
MOHABBAT TUM NE BHI KI HAI