Kaise Batau Use

Kaise Batau Use
Kaise Batau Use,


Nahi Isme Koi Meri Khata,


Khel Hai Ye Sitaron Ka,


Ye Chand Tu Use Bata;


Bandish Hai Ye Fizao Ki,


Aa Maangle Khuda se Ek Umar Duao ki
  

Jun, 07 2010     175 chars (2 sms)     2741 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Us ne tora wo taluq jo meri zaat se tha,

usko ranj najany meri kis baat se tha,

la-taluq raha wo bhi auron ki tarha,

Jo achi tarha waqif meri zaat se tha.
Teri yaad main bohat pegham likhte hain,

Teri yaad main guzri wo shaam likhte hain,

Wo qalam bhi tera deewana ho jata hai,

Jis se hum tera naam likhte hain.
Ajj Bhi Wo Taqdus bhari raat mehki howi hai WASi
MAin ksi main koi mujh main dhalta raha chand jalta raha
janay kion rung-e-baghawat nahi chupnay pata
hum to khamosh bhi hain sar bhi jhukaye hoyay hain
uss ny phir mera hall poocha hy
kitna mushkil sawal poocha hy
hichkion ka ajeeb lehja tha
baat ko taal taal k poocha hy
tum mujy chore tu na jao gy
wasty daal daal k poocha hy
ansouon ki zuban man uss ny
jitna poocha ha kamal poocha hy
kia kabhi mill saken gy hum dono
mujh sy mera khyal poocha hy................
* Harf-e-Dua *

Chaandni

Us Dareechy Ko Chuu Ker

Mere Neem-Roshan
Jharokay Mein Aaye, Na Aaye

Magar

Meri Palko''n Ki Taqdeer Se
Neend Chunti Rahe

Aur Us k Khwaab Bunti Rahy
Yaad Kerne Ko Hyn Dil Main
Hazaro''n Baatai''n

Par Meri Yaad Tou Uljhi Hy
Teri Zaat K Gird

Jab Tak Meri Duao''n k
Tum Hisar Main Ho

Ek Bhi Dukh Nahi Aayega
Teri Zaat K Gird ...
Ehsaas bahut hoga jab chod ke jayenge
Royenge magr ansu nai ayenge
Jab sath na de koi to awaz hume dena
Asman par bhi honge to laut aayenge. . .


Im Thr 4 yew AlWayS !!!:):):):)
jub kabhi toot kar bikhro to batana mujh ko,

"me tumhen rait k zarron se bhi chun sakta hoon"
Jab kaali kaali ankho''n ne
DoO nirmal nirmal ashko''n ne

DoO komal komal pholo''n ko

Shadaab kiya

Is waqt mujhe

Is dil ne buhat betaab kiya

Aur maine apni ankho''n main

Un ANKHO''N KO ABAAD KIYA
Chehre pe mere zulf ko phailaao kisi din
Kyaa roz garajte ho baras jaao kisii din

Raazon ki tarha utro mere dil mein kisi shab
Dastak pe mere haath ki khul jaao kisi din

Pedon ki tarah husn ki baarish mein nahaa loon
Baadal ki tarha jhoom ke ghirr aao kisi din

Khushboo ki tarha guzro mere dil ki gali se
Phoolon ki tarha mujh pe bikhar jaao kisi din

Phir haath ko Khairaat mile band-e-qabaa ki
Phir lutf-e-shab- a-vasl ko dohraao kisi din

Guzrein jo mere ghar se to ruk jaayein sitaare
Iss tarha meri raat ko chamkaao kisi din

Main apni har ik saans usi raat ko de doon
Sarr rakh ke mere seene pe so jaao kisi din
qasam un mast ankhoon ki main wo lub-raiz-sagar hoon..

jo masti main chalk jaoun,tu mehkhano ko lay dooboon...