ya alag bat hai saqi k mujeh hosh nahi,
warna may kuch b hone ehsan faramosh nahi
May tari mast nigah ka baram rakh longa
hosh ayee b tu keh donga mujeh hosh nahi
Apni zat k mehwar mein tujhay gum kar loon
Ebadaton mein tera ishq raqam kar loon
Teray aanson say gar mumkin na ho wazu
Teray jism ki matti say tayamum kar loon
Kiya Tum Bhi
Aansoo Rokny Ki Koshish Mein
Palkyn Teez Teez Jhapakty Ho
Aur
Kesi Sandesey Ki Aas Mein Baar Baar
Darwazy Ki Janib Lapakty Ho
Kiya Tum Bhi
Phool Pey Girti Barish Ki Aawaz Sey
Aur
Door Kahin Bajny Waly Almiyaan
Saaz Ki Aawaz Sey
Aafsurda Ho Jaty Ho
Usko
Bade khuloos se
Samjhaya tha
Yeh muhabbat, yeh chahat
Yeh rooh ,yeh jism
Yeh jan
Sab kisi ke amanat hain
Mere pass
dene ko kuch bhi nahin hai
Usne khamooshi se
Mere bahte huye ashkoon ko
Apni hatheli per saja liya
Aur yeh
kahte huye chal di
Mujhe mere jeene ka
Sahara mil gaya
Anjana sa sapna palkon mein khelta hai,
andekha sa koi apna aankhon mein basta hai,
jiski pyaari si muskurahat saare ghamon ko bhula de,
aise kisi saathi ka saath jannat dikhata hai,
maine suna hai...chahat ka safar aise hi shuru hota hai!!!
Usay maine hi likha tha
k lehjey barf ho jayein
to phir pighla nahi kartey
parinday dar k urr jayein
to phir lota nahi kartey
usay maine hi likha tha
yaqeen uth jaye to shayed
kabhi wapis nahi aata
hawaon ka koi toofaan
kabhi barish nahi lata
usay maine hi likha tha
k sheesha toot jaye to
kabhi phir jurr nahi pata
jo rastey se bhatak jaye
wo wapas murr nahi pata
usay kehna woh be''maani adhoora khat
usay maine hi likha tha
usay kehna k deewanay
mukammal khat nahi likhtey...!