ishq mai ghairat-e-jzbaat n

ishq mai ghairat-e-jzbaat n
ishq mai ghairat-e-jzbaat ne rone na diya
wrna kya baat thi ks baat ne rone na diya

ap kehte the k rone se na badlain ge nasiib
umr bhar apki is baat ne rone na diya

rone walo se keh do unka b rona ro lain
jnko majburi-e- halaat ne rone na diya

tjse mil kr hamain rona tha,bohat rona tha
tangi-e-waqt-e-mulaqat ne rone na diya

ek do roz kaa sadmaa ho to ro lain
hmko hr roz k sadmaat ne rone na diya
  

Jun, 05 2010     416 chars (3 sms)     4082 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Hasti ko muhbat main fana kon karega
Yeh farz mare siwa ada kon kare ga
Hatho ki lakiro ko zara ghor se dakh aa najomi
Yeh dakh ke mare sath wafa kon kare ga
Kuchh to bolo aap bhi hume sunane ki chahat hai,
Hilte dekh honth aap ke milti hum ko rahat hai,
Kuchh bhi words aap bol do shayari khud ban jaygi,
Honthon se lag kar aap ke har word mein mithaas bhar jaygi.
Tark-e-Rasm-e-Dosti
Hargiz Mera Maslak Na
Tha ...

Ittifaqan Dosto''n Se
Raabtey Kam Ho
Gaye... !!!
Tu Chaley Saath Tou
Aahat Bhi Na Aaye Apni

Darmiyan Hum Bhi Na Hon
Yun Tujhy Chahei''n Tanha ...
khushiya bhi oos ke boondo ki tarah hoti hai
Sawera hote he din ke ujale me gayab ho jaati hai
yeh lamhe bhi oos ke boondo ki tarah gayab ho jayenge
kuch baaki kyu nahin bachta Sameer
Ikraar mein shabdon ki ehmiyat nahi hoti,
Dil ke jazbaat ki awaaz nahi hoti,
Aankhen bayaan kar deti hain dil ki daastan,
Mohabbat lafzon ki mohtaaz nahi hoti!
Yaad Aatey Hain Jab Bhi Din Woh Puraney
Ye Naina Kyun Lagtey Hain Aansoo Bahaney

Pagley Hain Naina Itna Na Jaaney
Nahin Lottey Hain Kabhi Din Puraney

Woh Bachpan Ki Baatein Woh Rangeen Zamaney
Chootey Yoon Hum Say Hon Jaisey Khazaney

Kahan Lot''tey Hain Woh Saathi Puraney
Kahan Phir Say Miltey Hain Gum Kar Khazaney ....!
Raah-geero''n Se
Tasadum Ka Sabab
Banta Hy ...


Tujh Se Milney Ka
Achanak Hi Iraada
Hona ... :)
Jab sina ghum se bojhel hu, aur yaad kisi ki atti ho
Tab kamry main band ho jana aur chupky chupky roo lyna
Jab ankhain baghi ho jain ,aur yaad main meri bher aain
Phir khud ko duhka mat dyna aur chupky chupky roo lyna
Jab palkain karb se mundi hon, aur sab samjain tum soty ho
Tab moh per takiya rahk lyna aur chupky chupky roo lyna
Ya duniya zalim duniya hai, ya baat bohat pihlaiy gi
Tum samny sab k chup rahna aur chupky chupky roo lyna
Jab barish chahra dooh daly, aur ashak bhi bundain lagty hon
Woh lamha hargiz mat kohna aur chupky chupky roo lyna.
Ta''aluq Baad Main
Tabdeel Ho Kr Jo Bhi
Reh Jaaye

Mohabbat Main Wo
Pehla Muskurana
Yaad Rehta Hy !!!
rafta rafta bujh gya aakhir chragh-e-arzu,,,

pehlay dil khamosh tha ab zindagi khamosh hy,,,,
kal raat
chand ko dekh kar
ek ajeeb sa ahsaas hoa
dil ki dharkanon ney
dhire sey kuch kaha
tumhara dil
chand k jesa ha chamakta hoa
mager
phir dil ney kaha
k chand main tu dag ha
mager
tumhara dil
bilkol saaf ha
is tarah
jis tarah shaffaf aaiyena
aur is aayeney main
sirf ek he tasweer ha
jo mere ha......