Tanhaai me kabhi aaine

Tanhaai me kabhi aaine
Tanhaai me kabhi aaine se baatein kar lete hai
Teri tasveer aankhon me dekhke jee bhar lete hai

Kuch pal hi sahi, mehboob ki baahon me jo guzarte hai
Har ik saans me hum jaise sadiyaan jee lete hai

Tere deedaar ko nigaahein jo taras jaati hai
Ashq-e-ishq peekar to pyaas bujha lete hai

Dekhte hai duniya juda kaise hume kar paati hai
Aaj hi gar umr bharka pyaar tumhe kar lete hai...!!!!
  

Jun, 03 2010     400 chars (3 sms)     3358 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

dhal ker chand main teri surat
gehry pani main tera kas dekhian gy
aur zra sa hila ker lehron ko
rat bhar tera raks dekhian gy
Yeh zakham mere paas tere pyar ki nishani hai,

bhool kar bhi in par na marham lagana tum.

jab kabhi tum tanha ho aur meri yaad satati ho,

bewafa hoon main yahi apne dil ko samjhana tum.
Tujhe waqt ho tu ye bazi khel k dekh ly

Hai ajeeb nasha muhabbaton main shikast ka.....
Ye IshQ-0-m0habat wada-0-wafa Sb Rasmi Rasmi Batain haiN ''FaraZ''

Hr Shaks Ana Ki Masti main Bs Apni khatir Jeeta hY
Har ek se achi baat karna FITRAT hai hamari,, Har ek khush rahe ye HASRAT hai hamari,, Koi hum ko yaad kare ya na kare,, Har ek ko yaad karna aadat hai hamari...
Iss Shaam Ki Tanhai Se,

Iss Dard Ki Gahrai Se Yeh Dil Kuch Baat Kar Raha Hai,

Zara Samjho In Fizaon Ki Chubhan Ko,

Tumhain Koi Yaad Kar Raha Hai..
Yeh Soch K Nikal Parha Hai Sard Raaton Mein Phirnay "FARAZ"

kaahin Chaand Ko Ehsaas-e-Tanhaai Naa Ho
Saath rehete rehete waqt unhi guzar jayega,
door hone ke baad kaun kise yaad aayega,
jee lo yeh pal jab hum saath hai,
kal ka kya pata waqt kaha le jayega.
ek chhoti si nazar wo mujhpay bhi daal day,

ay rab e zuljallal usay itna khiyaal day,

itna bhi kia arooj k wo mill hi na sakay,

wo ho sakay mera usay itna zawal day.
Mera din chupa kisi raat may

meri raat chupi kisi zaat may.

meri zindgi kisi raaz may

koi raaz hai meri zaat may.

may jahan kaheen bhatak gia

may girta girta sanbhal gia.

mujhy thokroun se pata chala

koi haath hai mery haath may.
Koi Wada Nahi Phir Bi Tera Intezar Ha
Judai K Bawajod Bi Tujse Pyar Hai
Tere Chehry Ki Udasi De Rahi Hai Gawahi
Mujse Milne Ke Liye Tu Bhi Bekarar Hai
Chor k Tum ko janay wala

Ik Din looat k aye to

Yaad ka Anchal Khushboo ban kar

Phir Tum per Lehraaye to

Koi Purana Zakhm Kuraiday

Meetha Dard Jagaaye to

Guzray Pal ka Dilkash Sapna

Ankhoon mein bas jaye to

Dil per Zakhm laganay wala

Marhum lay kar aye to

Maaan ka Sheesha tornay wala

Phir se Jornay aye to

Dhoop mein chor k janay wala

Saya ban k aye to

Dil se Dil ki raaye na poochoo

Dil pagal ho jaye to

Chor k Tum ko janay wala

ik din loat k aye to?????