Udas nazron mai bhi

Udas nazron mai bhi
Udas nazron mai bhi khuwab milain gaiy

kahin kantay to kahin gulaab milain gaiy

Meray dil ki kitab ko apni nazar se perh k dekho

kahin aap ki yaad to kahin aap milain gaiy.....;->
  

Jun, 04 2010     192 chars (2 sms)     2130 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Har Khushi Hai Logon Ke Daman Mein
Par Ek Hansi Ke Liye Waqt Nahi
Din Raat Daudti Duniya Mein
Zindagi Ke Liye Hi Waqt Nahi

Maa Ki Loree Ka Ehsaas To Hai
Par Maa Ko Maa Kehne Ka Waqt Nahi
Saare Rishton Ko To Hum Maar Chuke
Ab Unhe Dafnane Ka Bhi Waqt Nahi

Saare Naam Mobile Mein Hain
Par Dosti Ke Lye Waqt Nahi
Gairon Ki Kya Baat Karen
Jab Apno Ke Liye Hi Waqt Nahi

Aankhon Me Hai Neend Badee
Par Sone Ka Waqt Nahi
Dil Hai Ghamon Se Bhara Hua
Par Rone Ka Bhi Waqt Nahi

Paison Ki Daud Me Aise Daude
Ki Thakne Ka Bhi Waqt Nahi
Paraye Ehsason Ki Kya Kadr Karein
Jab Apane Sapno Ke Liye Hi Waqt Nahi

Tu Hi Bata E Zindagi
Iss Zindagi Ka Kya Hoga
Ki Har Pal Marne Walon Ko
Jeene Ke Liye Bhi Waqt Nahi
Log to milte hai yaha dil dukhane ke liye,
Wo bhi laye the hume maujon me dubane ke liye,
Wo hawao ki tarah rukh badal lete hai,
Hum nasibon se ladte hai jinhe pane ke liye..........;->
yeh jaan kar khushi hui k ussay b mere dukh dard ka ehsaas hai,

jana

aaj us ne keh jo diya aakhir tum mar kyun nahi jaate.
Sham ko parindo ki trah laut atey
"HUM"
Muntazir koi ager hamara hota,

Chand taro ki talb kise thi ?
Bs roshni k liye ek sitara hota,

"HUM" mein shayd koi kami thi warna ?
Zaroor koi tarf daar hamara hota,

Dunya k logo ki tamanna kise thi ?
Hum ne chaha
bs ek "WOH" hamara hota.
Meri aankhon mein ansooun ko rehne ki adat si ho gayi hai
Ae Khuda ! tarap utha hun mein ab to is nadi ko thehra do
Ek wo din tha jahan ,
Teri bahon ka Sahara tha milta,

Ek ye Din k sar rakhne ko pathr bhi nahi Milta..
apny ghar ki tareekiyon ko kis tarha mitaon,
.
.
.
bohat maghroor hai wo chaand marzi se niklta hai.
ilahe meray jazboo ko rawane de day..

muhbat k leay mere ek jaeane kum hai...
seena dehek raha hai to kya chup rahe koi.
kyoon cheekh cheekh kar na gala cheel le koi.

saabit hua sukoon e dil o jaan kaheen nahi.
rishton mai dhoondta hai to dhoonda kare koi.

haan theek hai mai apni anaa ka mareez hoon.
aakhir mere mizaaj mai kyoon dakhl de koi.
hum ko maloom hai tu nafrat nahi hai sitron se.

per yeh maloom nhai un k tootne ki dua kauon krti ho.
Tum kabi na meri azmaish kr sko gy,

jan se ziada kia frmaish kr sko gy,

pyar krty hain itna jitna samandr me pani,

kia samandr ki pimaish kr sako gy.
Yeh Dukh Dill Say Nahi Taltey !
Jo Uss Ne Haath Choura To...
Mujhey rastay Nahi miltay ..!!!