fursat mely kabi to pouch hall un ka,,

fursat mely kabi to pouch hall un ka,,
fursat mely kabi to pouch hall un ka,,,

jo log gi rahay hen tayray pyar k bagair
  

May, 28 2010     83 chars (1 sms)     4273 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Jheel Mein Chaand Nazar Aye Thi Hasarat Usaki
Kab Se Ankhon Mein Liye Baitha Huun Surat Usaki

Ek Din Mere Kinaron Mein Simat Jayegi
Tehare Paani Si Yeh Khamosh Muhabaat Usaki

Bandh Mutii Ki Tarah Woh Kabhi Khulata Hi Nahin
Faasale Aur Badaa Deti Hai Kurbat Usaki

Kisne Jaana Hai Badalate Hua Mausam Ka Mizaaz
Usko Chaho Toh Samaj Paaoge Fitrat Usaki
mera ik hi bcha hy,


hijr


pichhli kai sdiyon se us k,


daant tk nhi aaey...!!
Chehre Per Banawat Ka Gussa,
Aankhon Say Chalakta Pyar Bhi Hai,
Is Shauq-E-Ada Ko Kya Kahiye
Inkar Bhi Hai Iqraar Bhi Hai.
Koi Dukh Na Ho
Koi Gham Na Ho

Koi Aankh Kabhi Purnam Na Ho
Koi Dil Kisi Ka Toray Na

Koi Saath Kisi Ka Choray Na
Bas Pyar Ki Nadiya Behti Ho

Kaash K Dunya Aisi Ho
Aa Kabhi Andherey Main
Dekh Suurat-e-Dunya

Rung Tou Tamasha Hy
Sirf Dhuup Chaao''n Ka
Dunya Bhi Tere Saath Hy Dil Bhi Teri Taraf

Ab Mera Tera Faisla Tehra Khuda K Haath ...
Bad mudat usay dekha logo
Wo zara bhi nahi badla logo
Kush na tha muj say bichar kar wo bhi
Uss k chehray pey likha tha logo
Uski ankhein bhi kahay deti hain
Raat bhar woh bhi nahi soya logo
Ajnabi bun k jo guzra hai abhi
Tha kisi waqt woh apna logo
Dost to khair kon kiska hia
Uss ney dushman bhi na samjha logo
Raat wo dard meray dil mein utha
Subho tak chain na aya logo
Piyas sehraon ki phir tez hui
Abhr phir toot k barsa logo
hum kase dewane hai tere shaher k faraz.

k teri mubat mai hum nadnon k pache bahgte hai.
kabhi khud bhi merai paas aa
meri baat sun mera sath de
jo khalish hai dil sai nikaal ker
mujhai uljhanon sai nijaat de
tujhai sochna mera mashghala
tujhai dekhna meri aarzoo
mujhai din dai apnai khayal k
mujhai apnai qurb ki raat de
main akela bhatkon kahan kahan
ye safer bauhat taweel hai
meri zindagi merai saath chal
merai hath main apna hath de!!
"Meri khamoshi thi jo seh gayi,
uski yaadein hi ab is dil mein reh gayi,
thi shayad uski bhi koi majboori,
jo aaj meri kahani phir adhoori reh gayi"
Apna Saath De Ya
Qaid-e-Tanhai De

Mujhe Kuch Bhi De
Magar Be-intehai De

Meri Aankho''n Pe Yun
Naqsh Ho Tera

Mein Khud Ko Bhi Deho''n
Tou Tuu Hi Dkhai De ...
Aap Ko Chaah Kar Kuch Na Chaaha Kabhi,


Meri Chaahat Ka Kuch To Silaa Dijiye,


Phool Murjhaa Gaye Aap Ki Chaah Mein,


Muskura Kar Unhein Phir Khilaa Dijiye.