Ye wafa ka silaa hai to koi baat nahi,
Ye dard apno ne diya hai to koi baat nahi,
Yehi bahut hai ki woh dekh rahe hai kinare se,
Hum doob bhi rahe hai to koi baat nahi
Aisa kerna k chand say kuch matii lana..
Us matii say dow putlay(statue) bna''na..
Ik teray jaisa..
Ik meray jaisa..
Un putloon ko phir tum tor daina..
Un say phir dow putlay bna''na..
Ik teray jaisa..
Ik meray jaisa..
Ta k kuch kuch TUM mein HUM reh jain..
Kuch kuch HUM mein TUM reh jana...!!
Kisi na kisi roz mulakaat hogi tujhse,
Pyaar bhari chahat ki baatein hogi tujhse,
Tere tasweer ko dekhkar gujaara kar lete he hum,
Parr na jaane kab mulaakat hogi tujhse,
Intazaar mujhe uss din ka hai,
Jab tu mere saath hogi.
lakh caha karun izhar - e - tamanna lekin
aake honton pe hi alfaaz ne dumm tor diya
paoon to utthe kaii bar tumhari janib
saath himmat ne magar raah mein hi chor diya