Sawal Tu Hy Jawab Tu Hy

Sawal Tu Hy Jawab Tu Hy
Sawal Tu Hy Jawab Tu Hy

Mohabbato''n Ki Kitaab Tu Hy

Be-sabat Jaha''n k Rung Saray

Meri Nazar Mein Shabaab Tu Hy

Ye Kainaat Hy Jis Se Roshan

Aftab, Taray, Mehtaab Tu Hy

Kabhi Tou HoTa Hy Paas Mere

Kabhi Chamakta Saraab Tu Hy

Phool, Kaliyo''n Ka Khush-Rung Pairhen

Khushbuo''n Ka Hijaab Tu Hy

Tu Meri Khwahish, Tu Meri Hasrat

Meri Aankho''n Ka Khwaab Tu Hy

Nisaab-e-Zindagi Hy Ishq

Meri Zindagi Ka Nisaab Tu Hy ... !!
  

May, 29 2010     456 chars (3 sms)     4707 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

shayari ki kya baat karte ho ......
hum bhi kabhi shayar they ...........
aaj humari bahadhuri ke charche hein to kya ......
hum bhi kabhi kayar they..................
Tanhaayi mein na kabhi jiya hai maine,
Jab tanhaayi hote hai hum mein , tere saaye se jiya hai maine
Tmhara naam likhta hn
Main kaghaz pe
Dekhta hn
Sochta hn
Wo kaghaz phaad deta hn
Phr un kaghaz k tukro''n ko
Mutthi me bheenchta hn
Phenk deta hn
Wahi''n pr beth k larta hn khud se
Wohi kaghaz uthata hn
Main aankho''n se lgata hn
Main tum ko sochta hn
Phir uss paani ko
Taweez-e-Mohabbat jaan ker peeta hn
Aankhei''n moond leta hn !!!!
Yaadeein Teri Rakh Di Hai Sambhal Kar
Dur Kahi Is Dil Se Nikal Kar

Sab Kuch To Vapas Le Liya Hai Aapne Dur Jaa Kar
In Yaadon Ko Bhi Le Jana Kisi Roz Aakar
Kaise wo laut aaye k fursat ussey nahi
Dunya samajh rahi hai mohabbat ussey nahi

Lagta hai aa chuki hai kami uss ki chah main
Kaafi dino''n se mujh se shikayat ussey nahi

Dil ki zameen us ki hai banjar issi liye
Jazbo''n ki barishon ki jo aadat ussey nahi

Har cheez ikhtiar main rakhta hai wo magar
Dil se rihayi paney pe qudrat ussey nahi..!

Zindagi! ab tou ta''aluq ki ye hi surat hai
Tujh se rakhni bhi hai aur tujh se nibhani bhi nahi
Kitabon Me Rakh K Sula Gya Humko,
Aanh Band Ki Or Bhula Gya Humko.
Koi Ajeeb Musawar Tha IMDAD,
Jo Baarishon Ke Mosam Me,
Kachi Dewaron Pe Bna Gya Humko.
Dost naa sahi, unke dushmano me hee mera naam de…


Wafaye yaad naa rahe meri to wo bewafa ka hee ilzaam de...


Udhar yaad karne kaa bhee waqt nahi, idhar waqt ke siva kuch nahi..


Mai bhee masroof rahu ae khuda mujhe bhee kuch aisa kaam de….
rone se agar jo badal jaate naseeb..

ghalib..

to aaj duniya mein hum bhi khush naseeb hote.
Main Is Ehsaas Ki hushbuu Main Abhi Tak Hoon Muqeed

Rihaai Jesey Abhi Meri Dastaras Main Nahi ... !!!!
Pyaar aapka meri aankkhon mein chalakta hai
Sun kar aapke dil ki baatein,dil mera dhadakta hai..
Aapko yaad hum kaise karein mere mehboob
Ke kaunsa pal hai jab ye dil aapko bhoolta hai..
…Likha tha naam tera hath ke lakeero’n mai’n
Teray baghair kahaa’n jaa kay hath phailaatay
Khwab bn k koi aye ga to neend aye gi

ab wohi ah k sulaye ga to neend aye gi

dil ki wo bat jo ankhu se beyan hoti hai

koi honto se sunaye ga to neend aye gi.