Tu Kahin Bhi Rahe Sir Pe Tere ILzaam To Hai

Tu Kahin Bhi Rahe Sir Pe Tere ILzaam To Hai
Tu Kahin Bhi Rahe Sir Pe Tere ILzaam To Hai

Tere Haathon Ki Lakeeron Main Mera Naam To Hai

Mujh Ko Tu Apna Bana Ya Na Bana Teri Khushi

Tu Zamane Main Mere Naam Se Badnaam To Hai

Mere Zindagi Main Koyi Khushi Na Aayi Na Sahi

Teri Zindagi Main Mere Naam Ki Koyi Shaam To Hai

Dekh Kar Laug Tujhe Naam Mera Lete Hain

Is Pe Main Khush Hoon Mohobbat Ka Ye Anjaam To Hai
  

Jun, 01 2010     385 chars (3 sms)     5753 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Mein ne Tume
Apni wafaon ki zanjeer se
Azaad kya

Khudara!

Ye mat puchna k
Mein ne khud ko
Tumhari qaid se
Azaad kia ya nahi

Yaqeen Jano!

Mein un qediyon mein se hun

Jo khulay darwazay dekh kar bhi
Farar nahi hotey...!!
kehnay ko uss se Ishq ki tafseer hay bohat

parh le to sirf aankh ki tehreer hay bohat
Meray hatho ko oskay hatho ki esi adat thi, Wasi


Meray hath kisi or k choonay ko rzaa-mnd na thay.
Kitna Saroor Raat Ki Tanhayioun Mein Tha
Chup Tha Ke Jese Chaand Bhi Ruswaiyoun Mein Tha
Sab Ja Rahe The Apne khudaon ko Poojne
Tab mein Tere Khial Ki Gehraion Mein tha
ye teri judai ka gham nhi,ye silsaley tou hain roz k,

teri zaat iska sabab nhi,kaei din se yunhi udas hoon,
Wada kar ke jo mukar jate hain
Woh log sab se jyada kareeb hote hain
Waqt to chalta hai chal ke badalta hai
Par ye log waqt se pehle hi badal jate hain..
ae kash tu bhi sunta kabhi ahaton ki goonj.
tu bhi meri terha se kabi dohndta mujhe.
Tune Dekha hay kabhi

Chaand pe Behta Hua Paani?

Maine Dekha Hay Ye Manzar

Uss K Rukhsaar Pe Aksar...!!!
Dasht-E-Ghurbat main


jis pairh Ne,



mere Tnha Musafir Ki khatir,


Ghani Chaon Phailai hY,

Us ki Shaadabion k Liye

Meri sb Unglian

Hawa main

Dua Likh rahi Hain.
Aansu jo beh rahey hein inhein behney do
Yeh keh rahey hein dil ki baat, kehney do

Buhat bewafa ho tum, yeh ham ko hai maloom
Tum apni wafa ki baat, apney tak hi rehney do!

Mila to kia mila tumhein chahney kay baad
Bas dukh hi seh rahein hein, hamein sehney do

Tum ney to keh dala sab haal-e-dil apna
Ab mujh ko apni daastaan bhi kehney do

Mar gaye auroon kay liye ham yaara
Tum apni khatir ham ko Zinda rehney do....
Ek tu teri aawaaz yaad aayegi,
teri kahi hui har baat yaad aayegi,
Din dhal jaayega raat yaad aayegi,
har lamha pehli mulaqaat yaad aayegi..
Kabhi hasti kabhi roti kabhi muskurati..
ye zindgi tere bin bhi kat jaayegi..
Par kuch kami isme bhi to reh jayegi.
dil ko tadpayegi kabhi tarsayegi.
har lamha teri yaad aa aayegi,
tumhy achi trha maloom tha kah main ghareeb hun.

phir bhi tum ne meri her cheiz tord di.