Hum chalay jayen to

Hum chalay jayen to
Hum chalay jayen to hum ko na bhulana yaro
Aiwan e dil main meri yaad ko sajana yaro
Mana k hum main na thee koi baat ajab si
Meray junoon, meri wafa ko he sarahna yaro

Meri wafaon ki toseef k wastay
Meray khoon e dil say likh sabaq dohrana yaro
Shayad isi tarah zinda rahoon tumhari yadon, tuhari baton main
Meri ghazlon, meray sheron ko gungunana yaro

Yaad aa jaye maah o saal main ik baar jo meri
Meray mazaar pe ik nanha sa diya jalana yaro
Chand phool aur meri dua e maghfirat k
Daba ker qabr main mujh ko na bhool jana yaro
  

Jun, 04 2010     545 chars (4 sms)     3078 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

W0h jisey neend kaha karte hai sab, chain ki neend . .
.
.
W0h tere baad kabhi aankh me utri hi nahi . .
Na main pass us ko bola saka.
Na main dil ki baat bata saka.
Wo hansi hansi main hi chal dia.
Main hath tak na hila saka.
Kahan jao gay mujay choor kar.
Main yah poch poch kar thak gaya.
Wo jawab muj ko na dai saka.
Wo tou khud sarapa sawal tha.
Wo mila tou sadion k baad b.
Meray lab pay koi gila na tha.
Usay meri chup nay rola dia.
Jisay guftago main kamal tha..
gul''on ko bhi nahi aaya abhi tak is tarah khilna,

sawery jis tarah wo neend sy be''daar hota hai...
ek pal ki yeh baat nahi 2 pal ka yeh saath nahi,
waise to zindagi 1 safar si ban gai hai mere liye,
par woh safar hi kya jisme aap saath nahi
Khwab bn k koi aye ga to neend aye gi

ab wohi ah k sulaye ga to neend aye gi

dil ki wo bat jo ankhu se beyan hoti hai

koi honto se sunaye ga to neend aye gi.
pehlay se ab wo rang ,wo melay kidhar gaye
hoti thi jin se dhoom wo jazbe hi mar gaye

aankhon ka noor, dil ka ujaala bhi lay urray
hum ko to apne dost hi sunsaan kar gaye

haaye wo chhaaon ddaaltay chhatnaar kia huay
haay wo paaon choomtay daryaa utar gaye

ik lamha teri yaad se ghaafil huay thay hum
ik lamhay main hi kitne zamaanay guzar gaye

koi na shab ki tergi main saath de saka
kuch de gaye farayb to kuch yoonhi dar gaye

hum reh gaye hain SHAM jo tanha to gham nahi
kab ehl e dil k saath bhala kam nazar gaye
taamul to tha unn ko aane mein a qasid...

mgr ye bta tarze inkar kia tha.
Phool se pehle khusboo ko to dekho,

karne se pehle kaam ko to dekho.

kisike roop mein diwana naa bano,

surat se pehle uske dil ko to dekho.
Wo meri Aankh ka spna he agr wo smjhe,

wo meri zaat ka hisa he agr wo smjhe,

Ho nhi skte juda phool se khushbo jaise,

Sath hmara bhi kuch aisa he agr wo samjhay.>
Raaste mein gire hai phool uthata hai koi koi
Mohabbat karte hain sabhi , nibhata hai koi ko
Milta tha mujh sai woh kabhi pal pal k farq sai..
Phir rafta rafta farq yeh saalon mai aa gaya...
Phir yoon hua k aankh sai aansu nikal parray...
Chehra kabhi jo us ka khayaalon mai aa gaya !
Tumhien maloom hai

janaan!!

tum bhi

ek...

qatil ho,...

mery ander ka ek

hansta hua insaan

Tum ne mar dala hai