Mere Hathon Ki Lakeeroon

Mere Hathon Ki Lakeeroon
Mere Hathon Ki Lakeeroon ma Ya Aib Chupa Hai, Mohsin...!

K Jis Cheez Ko Cholun Wo Mere Nahi Rehti...!
  

Jun, 02 2010     105 chars (1 sms)     2815 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Sakoon e dill k liyye Ishq toh bahaana tha
Wagarna thak k kahin toh thehar hi jana tha
Apne dil ki sun afwahon se kaam na le

Mujhe yad rakh beshak naam na le

Tera veham hai k hum bhool gaye tujhe

Meri koi aisi saans nai jo tera naam na le
............BHULAYA NA JAA SAKA............
Palkon pe aanso''on ko sajaya na jaa saka
us ko bhi Dil ka haal bataya na jaa saka
zakhmon se choor choor tha yeh Dil mera
ek zakham bhi us ko dikhaya na jaa saka
jab teri yaad aayi to koshish ke ba wajood
aankhon main aanso''on ko chupaya na jaa saka
kuch log zindagi main aise bhi aaye hain
jin ko kisi bhi lamhe bhulaya na jaa saka
bas is khayaal se kahin us ko dukh na ho
hum se to haal-e-gum bhi sunaya na jaa saka
woh muskura raha tha mere ru-ba-ru magar
chehre ka rang us se chupaya na jaa saka
tanhaiyon ki aag main hum jal gaye
magar faasla ana ka mitaya na jaa saka
Rakhty Hain Jo Oroon K Liyeh Pyar Ka Jazba





Woh Log Toot Ker Kabhi Bikhra Nahi Kerty
Meri Khamosh Mohabbat Ka
Itna To Sila Diya Hota,
Kabhi Ek Nazar Chahat Se
Dekh Hee Liya Hota

Hum Bhi Tujhe Ishq-0-Mohabbat
Se Aashna Karte,
Bas Ek Baar Apne Dil Mein
Aane To Diya Hota.

Kiya Jata Tumhara Bas
Hamein He Dil Se Khushi Milti,
Apni Zindagi Ki Kitaab Mein
Naam Hamara Bhi Likh Liya Hota.

Dekh Lete Zara Ghor Se Shayad,
Tumhare Haath Ki Lakiron Mein
Hamari Kismat Ka Bhi Diya Hota.
Meri Khamosh Mohabbat Ka
Itna To Sila Diya Hota,
husan-e-shama likhoon ya sarab likhoon,

hum dum likhoon,sathi likhoon ya khuwab likhoon,

tere sarapa-e-husn se heran hoon main,

mehjabeen likhon,sehe rukhi likhoon,
bewafa likhoon ya hijaab likhoon,

khatam ho jata hai zakhira-e-alfaz..

dil to kehta hai teri tareef be hisab likhoon.
bhanp jaye na kahen dil ki lagi ye dunia..

yun shafaq ban k mare chahre pe tehra na karo..
Aaj Tak Jo HUM Tumse Keh Na Sake .. Aaj Wazahat Se Iqrar Karte Hain .. Jise Tum Rooz Dekhte Ho AAINAY Main Isse HUM Bepanah Piyaar Karte Hain ..
Wo jo Dawedaar hY Shaher main,

k sabhee ka Nabz shanaas Hon,


kabhee Aa k mujh saY To poochta


k


main kis k Gham main UDAAS Hon.
kahan kahan na chiri daastan-e-jurm-e-wafa
hamaray eshq ka charcha kahan kahan na hua
""Tum is shehr k khuloos se waqif nhi Faraz..."
"Ye to mohsin ko bhi sar-e-aam saza detey hain."
Aik din bahroon k phool murjha jayeenge,
jab bhule se kabhi hum yaad aayeenge,
ahsas hoga tumhein humari dosti ka jab,
duur bahat duur hum tum se chale jayeenge!