suno khudh se mughay

suno khudh se mughay
suno khudh se mughay tum juda na karo
meri mohabbat ko tum youn ruswa na karo

ye sab khel hain taqdeer ke Milan aur judai
per tum to apni zindagi se mughay juda na karo

mana bohat khudh garz hun aur khush faham bhi main
per tum bhi mere sitam ko youn saha na karo

saza do mughay tum meri berukhi ki zaroor
magar aise mugh se apne mun ko tum mora na karo

janta huun tanha hai sabhi ki sada se ye zindagi
aise khamosh rehker use aur tanha na karo
  

Jun, 07 2010     462 chars (3 sms)     2628 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Nigaho'n k Tasadum Se Ajab
takrar Kerti Hy

Yaqeen Kamil Nahi Lekin Guman
Hy Pyar Kerti Hy

Laraz Jata Hoon Main Ye Soch k
Kafir Na Ho Jao'n

Tabiyat Us ki Pooja Pe Bara
Israar Krti Hy

Usay maloom Hy Shayad Mera D
Hy Nishane Per

Labo'n se Kuch Nahi Kehti
Nazar Se Waar Kerti Hy

Main Us Se Poochta Hoon Khwab
Mein "Mohabbat Hy Mujh Se ?"

Phir Aankhei'n Khol Deta Hoon
jab Wo Izhaar Kerti Hy .. !!!
Dosti Ka Daawa Kerny
Wale Hum Ny Dekhey
Hyn ...

Jinhai''n Hum Azeez
Tou Hyn Magar Apni
Masroofiat k Baad !!
Ek nakaam hasrat
Ek tishna arzo
Ek beqarar Mohabbat
Ek Pyaasi Rooh
Ek Haseen Jazba
Ek adhoori Talaash
Ek Tarasti Tamana
Ek Natamaam Khwaab
Tum koi Nam Do
Ek Pechchann do
Hum to tanhayon se tang akar dost banane nikle the FARAZ…

Dost bhi aise mile k aur tanha kargay
Kia Kaho''n Tujhe

Khwaab Kaho Tou Bikhar Jaye G a

Dil Kahoon To Tuut Jaye Ga

Aa Tera Naam Zindagi Rakh Doon

Maut Se Pehle Tera Saath Na Chooth Paye Ga
, nahin door mujh se qareeb hai

Mujhe uska gham to naseeb hai, wo agar nahin tu naheeN sahi
wo to ambar hai...
usey apne anchal par,
chand sajane ka haq hai
mai to fakat ek khushboo hu
khushbuo ka mukaddar to
azal me bikhar jana hi likha hai
khushboo hath nahi hati
na hi chand aur khushboo ka
wasl mumkin hai
ye to hawao ki musafir hai
chand to thos hakikat hai
jo ambar par hi sajta hai............
Koi din aisa bita nahi jab yaad tumhari na aati ho,
koi khwaab aise nahi jisme tum nazar na aati ho,
wo soche bhi kaise tumhe bhulane ki,
jiski har dhadkan me tum samati ho
Taraste the jo milne ko kabhi,
Aaj wo kyon mere saaye se katrate hain...
Hum bhi wahi DIL bhi wahi,
Na jane kyon log badal jate hai....!!!!
Teri Nazar Ko Fursat Hee Na Mili Sachai Ki
Werna Mera Marz Itna B La Ilaj Na Tha
Humne Wahan B Mohabbat Banti Hai
Jis Shehar Mein Mohabbat Ka Riwaj Na Tha
ehsas tu hai mujhe uski muhabat ka mohsin...

per wo mujh se nazrain chura ker guzrta kaoun hai.
Milta tha mujh sai woh kabhi pal pal k farq sai..
Phir rafta rafta farq yeh saalon mai aa gaya...
Phir yoon hua k aankh sai aansu nikal parray...
Chehra kabhi jo us ka khayaalon mai aa gaya !