agar pata hota kh tum aao ge

agar pata hota kh tum aao ge
agar pata hota kh tum aao ge yadon main.

tu hum sanwrte or sajte zaror...
  

May, 28 2010     77 chars (1 sms)     3392 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Aaj us ki yaad ne hamain tarpaya bohat,

aaj na chahtay howay bhi woh yaad aya bohat,

uss k baad tu jasay vehshaton se dosti ho gai,

phir kyon aaj tanhaiyon ne daraaya bohat,

woh mera tha,mera hai, mera rahay ga,

hum nay iss khayal se khud ko behlaya bohat,

hum ne jis kisi ko bhi humdard samjha apna,

woh hamare dukh pe na jaane kyon muskuraya bohat...
Meri saanso me ek aahat apki bhi hai,

Dil ki dhadkano me gungunahat aapki bhi hai.

Anjan hai aap is raz se ki,

Hamari hansi me ek muskurahat aapki bhi hai.
jis shehr ki masjid bhi tarsti ho jabeen ko,

phir samjho k us shehr ka har shakhs khuda hy..
Bikhar rahi hai meri zaat usey keh dena,
Kahin mile woh tu yeh baat usey keh dena..

Osey kehna keh bin os ke din katt taa hai,
Sisak ke kat ti hai har raat usey keh dena..

Woh saath tha tu zamana tha hamsfar mera,
Magar ab koi nahi saath usey keh dena..

Ganwa ke pyaar mein ham tu khud ko hi betha gaye,
Kare hain ishq ke lamhaat usey keh dena..

Woh jis ko sun ke palat aaye meri duniya mein,
Hawaao aise koi baat usey keh dena..

Agar woh phir bhi naa loutey tu mehrbaan kasid,
Hamaari zeest ke halaat usey keh dena..
Us Ne Mujh Se,

Poocha Ek Roz,

Tumain Chahne Walon Se,

Dar Kyun Lagta Hai,

Kyun Baghte Ho,

Kyun Khamosh Rehte Ho,

Kyun Tanha Rehte Ho,

Mujay Koyi Jawab Na Mila Kehne Ko,

Bus..!!!

Ek Ansoon Gira Aur Rul Gaya Khak Mein...
Jo dil k ainey mey ho wohi hay piar k kabal. warna deed k kabal tu har tasveer hoti hay.........
Pyar nhi likha tha kismat me
to usne pyar kyu karwa diya.
Shayad tadpte hue dekhna chahte the wo kisi ko,
jiske liye usne hume mohra bana diya.
main to phool hoon, murjha gaya to malal kaisa










tum to mehek ho tumhe abhi har phool mein samana hai.
KiTnaY MUkhTalif HaiN ZaManAy say Hamaray KHayalaat





Loog ZiNdagii PeH Fidaa HaiN AUr haM ZInDaGii say KHafaa ...
Bhuli Huwi Sada Hun Mujhe ad Kijiye,
Tum Se Kahin Mila Hun Mujhe Yad Kijiye,
Meri Nigah Shok Se Har Gul Hai Diyota,
Main Ishq Ka Khuda Hun Mujhe Yad Kijiye,
Naghmon Ki Ibtida Thi Kabhi Mere Naam Se,
Ashkoon ki Intiha Hun Mujhe Yad Kijiye,
Gum Sum Khari Hain Dono Jahan Ki Haqeqatein,
Main Un Se Kheh Raha Hun Mujhe Yad Kijiye..........!
Ajeeb kismat mili hai mujhe bhi yaa RUB.

jo aaj mera hua hai kal usne mar bi jana hai.
Zindagi bhar zindagi ki saza milti rahi,
Lamha lamha wafaaon ki jaza milti rahi.
Cherh kar jata raha har baar zakhmon ko mere,
Gham ke sholon ko yun hi hawaa milti rahi.
Meri nazron ne hai bakhsha husn ko farogh,
Uske har aaza ko ik adaa milti rahi.
Faasla badta gaya jitna gaya uske qareeb,
Khushk patton ko jaise hawaa milti rahi.
Paththron ki gird takrata raha ''Rahat'' ka wajood,
Sukhan goi ka sadaa nayee sadaa milti rahi.