Tu Dekh Ya Na Dekh Tere

Tu Dekh Ya Na Dekh Tere
Tu Dekh Ya Na Dekh Tere Dekhne Ka Gham Nahi
Par Teri Ye Na Dekhne Ki Ada Dekhne Se Kam Nahi
  

Jun, 04 2010     93 chars (1 sms)     3945 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

tum taslee na do bus yon he pas bathe raho..

waqat kuch mray mrnay ka tul jay ga..
Ye Na Ho K Musalsal Wafa Thaka De Tujhe

Mohabbato''n Main Naya Pan Talash Ker Lena
jakham itne gehre hai izhar kya karen,
Hum khud nisana ban gaye hai waar kya karen,
mar gaye hum magar khuli rahi aakhe,
ab is se jyada unka intjaar kya karen
Suna hai asar hota hai baaton me,

tum bhi bhul jaoge do char mulaqato me.

humse ruth kar jaoge kahan,

tumhari dosti ki lakir hai in hathon me.
Bharam Rakh Lo Mohabbat Ka

Wafa Ki Shaan Ban Jao

Kisi Pe Jaan De Do

Ya Kisi Ki Jaan Ban jao

Tumhare Naam Se Pukarenge

Mjh Ko Jahan Wale

Main ban Jaon Fasana

Tum Unwan Ban Jao
dil tujhy rooh sy pany ka talabgar hr warna...

jism bikty hain tery sath k kuch damoo mein...
uski aankhon main koi dukh basa ha shayad.

ya mujhay khud hi koi waham howa ha shayad..

main ne pocha ke bhool gaye ho tum bhi..

pouch k aankain us ne mujh se kaha shayad..
aaj phir yaad teri ayee hai
aaj phir raat kat na payegi
aaj phir nain barsenge
aaj phir neend rooth jayegi
aaj phir dil tuje pukarega
aaj phir aass toot jayegi
Aaj kuch kami hai tere bagair,

na rang na roshni hai tere bagair,

waqt apni raftar se chal raha hai!

bus dharkan thami hai tere bagair,

na barish hai na dhuaan!

phir bhi dil mai tapish si hai tere bagair,

buhut roka hai baadal ko barsne se!

phir bhi aankhon mai nami si hai tere bagair....
Pyar Ki Kali Sab Ke Liye Khilti Nahi,

Chah Kar Bhi Har Ek Cheez Milti Nahi.

Sacha Pyar Kismat Se Milta Hai,

Par Har 1 Ko Aisi Kismat Milti Nahi.
Kaha Uss Ne

Mujhe Tab Waqai Tumse Mohabbat Thi

Kaha Mein Ne

Mujhe To Aaj Bhi Tumse Mohabbat Hai

Mein Ab Ki Baat Kerta Hon

WO Tab Ki Bat Kerti Hai

Magar Jo Faasla Ab Aur Tab K Dermiyan Hai

Hum Dono Se Mil Ker Bhi Smaita Ja Nahi Saka

WO Ab Tak Aa Nahi Sakti

Mein Tab Ko Paa Nahi Sakta
Yun Tu Ghum Sab Ki Zindagi Main Hai...
Zabt Lakin Kisi Kisi Main Hai...
Usne Ghazal Sun Kar Kaha Meri...
Kitna Dukh Teri Shairiii Main Hai...