"Tum Rehti Ho !!!!"

"Tum Rehti Ho !!!!"
"Tum Rehti Ho !!!!"

itni bari in dunyaaon main
apne naam ki takhti waali aik imaarat
kitnay dukhon ki eenten chun kar
ghar banti hain.......
pathar pathar jorr k dekho
mai ne bhi ik ghar hai banaya
rangon,phoolon,tasve eron se iss ko sajaya
darwaaze ki loh per apna naam likhaaya
lekin iss k har kamray main
"tum rehti ho"
  

May, 27 2010     334 chars (3 sms)     2350 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Jo hukum karta hai woh iltejaa bhi karta hai...

Yeh Aasman bhi jaake kahin pe jhukta hai''

Tu agar bewafa hai to yeh buri khabar bhi sun le..

Mera intezaar koi aur bhi kartaa hai...
Ishq se mili jo Tanhayian hame..

Kaise unka dard bayan karenge..

Ek se hi mohabbat itni karli humne..

Ab Auro se mohabbat kya karenge...
chup rahun To Phat''Ta hY kaleja








Aur Agar Boloon To Teri ruswai hY
kitna saroor rat ki tanhayon me tha,

chup tha jaisay chand b ruswaion me tha,,

sub ja rahay thay apnay apnay khuda ko poojnay,,

tab me khayal-e-yaar ki gahrayoon me tha.
Kon Kehta Hy k Nafrato''n Main Dard Hy ''Faraz''
Kuch Mohabbate''n Bhi Bari Aziyat-nak Hoti Hyn !
Har lafz ko kagaz pe utara nahi jaata,
Har naam ko sare aam pukara nahi jaata,
Hoti he dosti me kuchh raaz ki baaten,
Yuhin to iss khel me dil haara nahi jaata!
woh ashk ban ke meri chashm me tarr me rehta hai
ajeeb shakhs hai paani ke ghar mein rehta hai
Woh chand chup gaya mujhay rat sonp kar
Ankhon ko intezar k lamhat sonp kar
Ek shakhs tha jo mujh say bichar gaya
Ankhon ko meri mausam-e-barsat sonp ka
Raaste mein gire hai phool uthata hai koi koi
Mohabbat karte hain sabhi , nibhata hai koi ko
kahan aa kar rukay thay rastay..kahan mour thaa ussay bhool ja
woh jo mil ghaya ussay yaad rakh, jo nahin mila ussay bhool ja

woh teray naseeb ki barish kisi aur chhat pay baras ghaee
dil-e-baykhabr mere baat sun ,ussay bhool ja ussay bhool ja

main tou gum thaa teray dhiyaan main,tere aas main teray ghuman main
saba keh ghaee meray kaan main ,meray paas aa ussay bhool ja..

kisi ankh main nahin aske-eghum,teray baad nahin kuch bhee kam
tujhay zindaghee nai bhula diya,tu bhee muskara, usaay bhool ja...

na woh ankh he tere ankh thee, na woh khawab he tera khawab thaa
dil-e-muntazir tou yeh kis liyay,tera jaghna ussay bhool ja..
Kuch beete hue lamho se mulakat hui,
kuch tute hue sapno se baat hui.
Yyaad jo karne baithe un tamam yado ko
to apki hi yaado se shuruat hui.
Ajab baat hai woh mujh say khafa bhi raha
Woh doston say mera haal poochta bhi raha
Ajeeb rang mein ki us nay guftagu mujh say
Labon pay chup thi nigahon say bolta bhi raha