Zara Tehroo..

Zara Tehroo..
Zara Tehroo..
Kay Soraj Ko To Janay Do..
Parando Ko To Ur Janay Do..
Zara Sham Dhalnay Do..
Abhe To Aasman Ka Rang Nikray Ga..
Abhe Khushboo Bhe Bikray Gee..
Abhe Mosam Bhe Badlay Ga..
Abhe To Chand Niklay Ga..
Abhe Manzar Badalnay Mein Zara See Dair Bakee Hey..
Abhe Dil Kay Sambhalnay Mein Zara See Dair Bakee Hey..
Chalay Jana..
Chalay Jana…
Abhe Do Char Pal, Do Char Sadyaa Sat Rehney Doo..
Zara….
Zara Tum Sham Dhalney Do..
Tahar Jaoo
Tahar Jaoo
  

Jun, 03 2010     466 chars (3 sms)     2160 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Eik dil ka kaha mano eik kaam ker do

,
Eik benaam si mohabbat

meray naam ker do.

Mari zaat pay fakat itna ehsan ker do,


Eik subha ko milo or shaam ker do.
Dil K Afsane Hum Ankho Se Byan Karenge,
Agar Humare Isharon Ko Smajh Jao Tum.
Hum Geet Naye Sajayenge,
Agar Hoto Se Chhu Lo Tum
Kisi ne hume aashiq kaha,

Kisi ne hume diwana kaha....

In aankhon me aansu tab aaye,

Jab apnon ne hume begana kaha....
Un Ko Namoos Bhi, Izzat Bhi, Pazeerai Bhi

Mujh Ko Roney Ko Muyassar Nahi Tanhai Bhi

Apne Hii Haal Pe Hansna, Kabhi Hans Kr Rona

Main Ba-yak Waqt Tamaasha Bhi Tamaashai Bhi
Kaun rakhta hai yaad naamo ko,

Log chehere ko bhool jatey hain,

Tum samundr ki baat krtay ho,

Log AANKHON mein doob jatey hain.....
ae saqi tu jo ruswai ka dard mahsos kar k aaj marna chahta hai..

ase kayi dard hain jo hum mahsos ka r k jeete hain..
Pereshan Hai Dil Aur Zindagi Udas Bhi
Tanha Hon Mein Aur Sab Kuch Mere Pas B
Lagta Hai Mein Hoon Per Mein Hoon Bhi Nahi
Sab Kuch Mila Bhi Aese Jaise Kuch Mila Hee Nahi
Wo mujh se bichar ha to usy khus rahnay do Muhsin.....
Mujh se Mill kar us ka Uddas hona mujhay acha nahin lagta..
December aa ker guzer jaye gaa
Ik pair kay na jaaney kitnay pattey giraa jaaey gaa
December aa ker guzar jaye gaa
Chiriyaa''n chehkein gee yakh-basta raato''n may
Aur pairo''n pey aa ker yeh gumsum rahein gee
Na koi hari shaakh ho gee
Na koi patta ho gaa
December aa ker guzar jaye gaa
Kitney parindey be-ghar ho jaain gey
Jalaa dey gee unn ko december ki thandi hawa
Na jaaney kitney khwaab bin taabeer dhal jaain gey
December aa ker guzar jaye gaa
Ik pair kay na jaaney kitney pattey giraa jaye gaa
Tanha ho to Kabi mujh ko dhondna Dunyia se nahin apne dil se pochna Aas pas hi kahin basey rehtey hain hum yadon se nahi sath guzre lamhon se pochna
TanG AA ke hum jo BechAnay niklAy wafa FARAAZ


logon ne phir khaloos ke bhAo gira diye.
meri awargi mein kuch dakhal hay tumhara bhi mohsin,

tumhari yaad aati hay to acha nahin lagta.