Aisa Karna Key Chand

Aisa Karna Key Chand
Aisa Karna Key Chand Sey Kuch Mitti Lana
Us Main Sey Do Putley Banana
Ek Tumharey Jaisa
Ek Merey Jaisa
Un Potloon Ko Phir Tum Toor Deyna
Un Sey Phir Tum Do Putley Banana
Ek Tumharey Jaisa
Ek Merey Jaisa
Ta K
Kuch Kuch Tum Main Hum Reh Jayen
Kuch Kuch Hum Main Tum Reh Jana
  

Jun, 03 2010     282 chars (2 sms)     2558 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

be azar wo kar late hain wada yeh samajh kar.
yeh ahl-e-murwat hain,taqaza na karen ge.
Na Khushi Na Koi Tamanna He Ab

Bas Apne Hi Saye K Sang Rehte He Hum

Kaise Kahe Kaise He Hum

Bas Yu Samajhlo Aap Khush He To Khush He Hum
Aksar main apney ansoon chupke chupke pee laita hoon
atti hay jub kabi woh nazar martey martey jee laita hoon
use jaate lahme hum ne na roka usk muskrte chahre ki waja se..


aaj wo roote howe mila tu hum use ansoo k sabab maaf kar daya..
teray ird gird hain ghomtay,meri zindagi k mammley...

tujhey dhund lenay k shauq mein,mai ne apna aap ganwa dia.
jina sikhaya hume isk ne,
marna sikhaya hume judai ne,
nahi liya karte the jaam kabhi,
pina sikhaya hume teri judai ne.
Pyar ho ya dosti ho
Inme wafadaree ki koi baat nahin hoti
Inme to bus ehesas hoten hey
Jinme bewafaee ke liye koi jagah nahin hoti…
Aqeedat Aur Hoti Hai, Murawwat Aur Hoti Hai

Mohabbat Jis Ko Kehtay Hain, Wo Naimat Aur Hoti Hai

Qayamat-Khez Manzar Jo Hazaro Hum Ne Dekhay Hain

Jo Dil Pe Toot-ti Hai Wo Qayamat Aur Hoti Hai

Maheeno Baad Milnay Ki Khushi Apni Jaga MOHSIN

Wo Zalim Jab Bicharta Hai To Halat Aur Hoti Hai... ;->
Dekhte hai duniya ki aankhon se,
Aashiqon ki yehi aadat kharab hai
Dil ki aankhon se dekhe gar koi,
Har haseen ko samjhna aasan hai
Kisi na kisi pe aitbar to ho jata hai...
ajnabi koi shaks yaar ho jata hai...khubion se nai hoti mohabbat sada...
khamion se bhi aksar pyar ho jata hai...
ub tu mujh ko pasand aajao.

main ne khud men bhut kami kar liii..
Dekhi Hui Rahon Se Nikal Kar Use Dekhain,
Is Baar Chalo Shehr Badal Kar Use Dekhain

Pani Ki Tarha Dhoop Me Urh Kar Use Dekhain,
Jangal Ki Tarha Aag Me Jal Kar Use Dekhain

Ye Sabza-e-Be Khwab Ye Jaga Hua Mehtab,
Aisa Hai K Ab Neend Mein Chal Kar Use Dekhain

Kab Tak Yuon Hi Khamosh Tamashai Rahen Hum,
Kab Tak Youn Hi Aaine Mein Dhal Kar Use Dekhain

Wo Bhi To Kai Roop Mein Aata Hai Muqabil,
Hum Bhi To Koi Rung Badal Kar Use Dekhain.