Dukh chhupay hoay hain hum dono
Zakham khaay hoay hain hum dono
Aisa lagta hay phir zamany ko
Yaad aay hoay hain hum dono
Tu kabhi chandani thee dhoop that main
Ab to saay hoay hain hum dono
Jaisay ek doosary ko paa kar bhee kuch ganwaiy hoay hain hum dono
Jaisay ek doosary say sharmindah
Sir jhukay haoy hain hum dono
Jaisay ek doosaray ki chahat ko
Ab bhulay hoay hain hum dono
Ishq aisa kahan ka
Kabhi rootha nahe kartay....
sono aissa nahe kartay....
jinay pana na ho aasan
aunhain soucha nahe kartay....
jinain shab bhar tarapna ho
kabhi soyya nahe kartay.......
zara se batt par ay..dost.......
youn he royya nahe kartay....!!!!
Samandar peer ka andar hai lekin ro nahi sakta..
Yah ansoon pyar ka Moti hai is ko khoo nahi sakta..
Meri chahaat ko dulhan tu bana lena magar sun lay..
Jo mera hoo nahi paya wo tera hoo nahi sakta..