Bohat Mubat se aisa ha,

Bohat Mubat se aisa ha,
Bohat Mubat se aisa ha,
Ke Tum khamosh rehtay ho,
Koi Gehra hai ghum shayad,
Jisay chup chap sehtay ho,
Yunhi chaltay huay tanha,
Koi Ghamgeen sa naghma ho,
Doran-e-guftagoo younhi,
Milen nazron se jab nazren,
To batain bhool jatay ho,
Kisi gumsum si halat mein,
Ya phir barish ke mosam mein,
Faqat itna he kehtay ho,
Udasi be-waja si hay,
Bohat bojhal si tabiyat ha,
Bhala such kuen nahi kehtay,
Tumhen mujh se Mohabbat ha,
  

Jun, 01 2010     439 chars (3 sms)     2609 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

jub kabi jee me aaye to aazma lena hum ghareebon ko dost,

lahoo bi dein gy chiraaghon me jalane k liye.
Tere Dil Mein To Armaan Shayad Paida Bhi Na Hue Ho
Per Mere Yanha Armaano Ka Woh Kabristann, Aaj Bhi Hai..

Dil Lagane Ki Khata Na Karna Ae Dost,
Dard Milne Ki Saza, Aaj Bhi Hai.....
Konsa zakhm tha jo tar-o-taza na tha,

Zindge m itne gm thay k andaaza na tha,

Un ke jheel c aankho ka is m kya kasoor,

Dobne walo ko gehrai ka andaaza na tha
zindgee Kay Safar Main
Koi Bhi Raasta Naheen Daita
Zameen Waqif Naheen bantee
Falak Saya Naheen Daita

Khushi Aur Dukh Kay mausam
Sab Kay Apnay Apnay Hotay hain
Kissee Ko Apnay Hissay Ka
koi Koi Lamhaa Naheen Daita

Udaasee Jis Kay Dil MAin Ho
Us''see Ki Neend Urrtee Hay
Kisi Ko Apnee Aankhoon Say
Koi Sapna Naheen Daita

Utthana Khud Hee Parrta Hay
Thakaa Tootta Badan Apna
Keh jab Tak Saans Chaltee Hay
Koi kaadhaa Naheen Daita
Hum kyon yahan badnaam hai
zamaane ki humne dillagi dekhi

Waadon par bharosa abh kyon rahe
humne azeezon ki wada-khilaafi dekhi

Ek hum hai jo lut gaye tanha
Warna duniya bhar ki dosti dekhi....
Tere yaadoon mein guzaare hue paloon ka agar koi hisaab hota,
Khuda ki kasam tab ye saara jahaan unn paloon se bhara pada hota.
Sunte hai ki mil jati hai har cheez dua se,
Ik roz tujhe bhi mang kar dekhenge khuda se.
Duniya bhi mili hai ghame duniya bhi mila hai,
Woh kyun nahi milta jise manga tha khuda se.
yeh rakh rakhao muhabt sikha gayi hai use..

kah wo roth k bhi mujh se muskura k milta hai..
Yoon bhi ham door rehtay thay..
Yoon bhi dilon mein ik kadoorat thi..

Tum nay rasman bhula diya warna..
Is takkaluf ki kya zarurat thi...
Us Se Kehna Hum Mazay Main Hain
Bas Yaadain Bohat Stati Hain
Un Ki Duuri Ka Gham Nahi Mujhe
Bas Zara Aankhain Bheeg Jati Hain
tum aao na aao hum to bulayengey,
tum bhula do hum na bhula payengey,
tumhe haq hai bhula do humari dosti ko,
humne dosti ki hai her hal mey nibhayengey..
Kon Kitna Bara Fareebi Hai...

Aao Ek Sham...

Hum Mohabbat Se..

Apni Apni HatheeliYan Dekahin..