Phir kahain Dour sey

Phir kahain Dour sey
Phir kahain Dour sey ik baar sada do mujh ko,
meri tanhai ka ehsas dila do mujh ko
.
tum tou aftab ho tumhey meri zarorat kya hai,
main diya hoon kisi chokhat pey jala do mujh ko
  

Jun, 04 2010     183 chars (2 sms)     2273 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Kaun kehata hai tujhe maine bhula rakha he
Teri yadon ko kaleje se laga rakha he

Lab pe Aahen b nahi Aankh me Aansu b nahi
Dil ne har raz muhabt ka chhupa rakha he

Tune jo dil k andhere me jalaya tha kbhi
Vo diya aj b siine me jala rakha he

Dekh ja aake mahakte huye zakhmon ki bahaar
Maine ab tak tere gulshan ko saja rakha he
tumhare"sard"lehje ne humein "chonka"diya warna.

"muhabbat"mein muhabbat se to dhoka"kha rahe the hum.
Tumse Milne Ki Justju Bi Ha

Aur Tu Mere Rubru Bi Ha

Hosla b Nahi Hy Jine Ka

Aur Jeene Ki Arrzu Bhi Ha

Hum ne Socha Dil Jala Dain

Phir Khyal Aya Dil Me Tu Bhi Ha
Mere kareeb to aao ki bahut udaas hoon mai,
koi kahani sunao ki bahut udaas hoon mai,
kisi bhi jhoote dilaase se dil ko behlao to sahi,
bus aaj toot ke chaho ki bahut udaas hoon mai..............
sub kuch haar chuka hu apni zindgi bhi apni muhabat bhi.

aik jisum hi rah gaya koi saza dani hu tu de jao...
Main Tum Se Kuch Nahi Kehta

Faqt Itni Guzarish Hy ...

K Utni Baar Mil Jao

K Jitna Yaad Aate Ho ...
bus kro khatam kro ye bazi-e-ishq

"mohsin"

muqadar k harey kbhi jeta nahi kartey......!
Kia Kaho''n Tujhe

Khwaab Kaho Tou Bikhar Jaye G a

Dil Kahoon To Tuut Jaye Ga

Aa Tera Naam Zindagi Rakh Doon

Maut Se Pehle Tera Saath Na Chooth Paye Ga
Woh Aankh Chupke Say Yon DIL K Bied Keh Jaye
K Jaise Baat Koi Yaad Aa k Reh Jaye
Na Woh Haseen Na Mein KHub Ro Magar Ik Saata
Hamein Jo Dhek Le WOh Dhekta hi Reh Jaye
Zindagi ki udaas raahon per
tu mili bhi ghari do pal ke liye

Main nazar utha kar tarap gaya
Tu nazer jhuka kar chali gayi

Wo waqt bara ajeeb tha aaya
Main zindagi key liye taras gaya

Teri rah mian taktaa reh gaya
Tu apni dhun main guzer gayi

Ye mohabat howi bhi to kesi howi
Main ek pal ko hi mila tum sey
Agley lamhey tu bichar gayi

Ek pal main so khuwaab jiya main
Aankh khuli to zindagi bikhar gayi

Wo nazrana bara ajeeb tha
Jab mian unmain uljha raha

Or tum nazer bacha kar guzar gayi

Dhoondh raha tha us pal tum main khud ko
ik tum be‘wafa thien jo muskura ker chalbasi ...
Wo meri Ankh ka Sapna hai agar wo Smjhy
Wo meri Zaat ka Hissa hai agr wo Samjhy,

Ho nai skti juda phool se Khushboo Jesy
Sath hamary b kuch aisa hi agr wo Samjhy,
Na karo ham say rag-o-jaan mein samaany ki baatein

Khultay nahin ham kisi pay aagahi ki hadd tak!