Kabhi Yun Bhi Aa Meri

Kabhi Yun Bhi Aa Meri
Kabhi Yun Bhi Aa Meri Aagosh Main K Meri Nazar Ko Khabar Na Ho
Mujhe ek Raat Nawaz De K Us k baad Seher Na Ho

Wo Bara Raheem-O-Kareem Hai, Mujhe Sift Ye Ataa Kare
Tujhe Bhoolne Ki Dua Karoon Aur Meri Dua Main asar Na ho

Kabhi Din Ki Dhoop Main Jhoom K Kabhi Shab K Phool Choom K
Yunhi Saath Saath Chalain Sada, Kabhi Khatam Apna Safar Na ho

Mere Paas Mere Mehboob ZAra Aur Dil K Qareeb Aa
Tujhe Dharkano''n Main basa Loon k Bicherne Ka Kabhi Darr na Ho

Kabhi Yun Milain Koi Maslihat Koi Khauf Dil Main Zara Na ho
Mujhe Apni Khabbar Na Ho Tujhe Apna Koi Pata Na ho

Tere Ikhtiyaar Main Kia Nahi, Mujhe Is Terha Nawaaz De
Yun Duaain Meri qubool Hoon k Mere Lab Pe Koi Dua Na Ho
  

Jun, 07 2010     696 chars (5 sms)     4135 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Tum pas hote tu koi shrarat krty,

Tujy le kr bahon me
"MohBT" krty,


Dekhty teri ankhon me nend ka khumar,

Apni khoi hui nendon ki
"ShikayaT" krty,.
uski aankhon main koi dukh basa ha shayad.

ya mujhay khud hi koi waham howa ha shayad..

main ne pocha ke bhool gaye ho tum bhi..

pouch k aankain us ne mujh se kaha shayad..
qadmoon main thi zameen safr fasloon main tha.

main door tha zaror magar raston main tha..
naaz karne ka tujhe haq hai..

hum jese dost bhi muqaddar se milte hain..
main bad dua to nahin de raha tum ko

magar dost khuda kare ke tumhen mujh sa koi na mile..
Dhoonda karogay Ek Roz Mere Khaloos ko Aey Dost....



So Jaonga Kisi Roz Main Zameen Oorh Kar.
Kya khabar Thi K Chalay Gi Kabhi Aisi B Hawa

khusk Patton ki Tarah Dost Bikhar Jayein Ga
hamari khamoshi hamari fitrat hai
aapki aankhen hamari chahat hai
ye zindagi jo itni khubsurat hai
uski wajah bas aapki muskurahat hai
***IBTEDAA***

tum ne mohabbat mohabbat se ziada ki hai

hum ne mohabbat tum se ziada ki hai

tum kiya kro gey inteha mohabbat ki...?

hum ne inteha se hee mohabbat ki ibtedaa'' ki hai !!!!!!!!
Bas Ek Tum Hi Nahi Thay

Meri Takmeel Mein Shamil

Mere Apne

Ajnabi

Sab Hi Shamil Thay

Phir Aisa Kyun Hua .. ?

Ek Bas Tumhary Jane Se

Meri Zaat Mein
Ashuura-pan

Baanjh Rutto''n Ki Terha

Theher Gaya Hy ... !!
Ab jiya nahee''n jaata...!




Laug theek kehtay hai''n...


Saath marnay waalo''n k...


Khud mara nahee''n jaata..


Yeh bhi aik haqeeqat hay...


Chand laug dunya may itnay pyaaray hotay hai''n...


Jo ager bichharr jaaey''n...


Phir jiya nahee''n jaata...!
Hum Se Maiyat Par Teri Aaya Na Gaya
Kaliyon Ka Haar Tumhari Kabr Par Bichaya Na Gaya
Hum Toh Khud Tumhari Kabr Ke Sath The
Isliye Hum Se Apna Chehra Tumhe Dikhaya Na Gaya