Socha Tha Tujhy

Socha Tha Tujhy
Socha Tha Tujhy
Tuut k Chahain Gy
Bohat Hum ...

Chaha Bhi Bohat
Jaana''n Aur Tuutey Bhi
Bohat Hum ... !!!
  

Jun, 01 2010     113 chars (1 sms)     3428 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Utre jo teri zindagi ki gehrai me hum,
mehfil me reh ke bhi rahe tanhai me hum,
Diwangi nahi to ise aur kya kahe,
Tujhe dhondte rahe apni hi parchai mein hum.../
"RaHaT"
Bhi apse aati hai,
"ChaHaT"
Bhi apse aati hai,
"HuMsE"
Kabhi rothna nahi,
Kiun k hamein...
"MuSkUraHaT"
Bhi sirf apse aati hai...!!
Pathar Ki Hai Duniya Jazbaat Nahi Samajti,
Dil Main Kya Hai Wo Baat Nahi Samajti,
Tanha To Chand Bhi Hai Sitaro Ke Beech,
Par Chand Ka Dard Bewafa Raat Nahi Samjti….!!!!
hay baad-e-marg bhi yaaro wohi tafreeq ka aalam...

na qabrein aik jaisi hain,na katbay aik jaisay hain...!
Kon Pujay Ga Khialoon Kay Sanam Maray Baad
Toot Jaiy Ga Parastish Ka Bharam Maray Baad

Kis Ki Ungliaan Sanwarain Gi Teri Zulfe Daraz
Kon Khaiay Ga Terey Sar Ki Qasam Maray Baad
Chalo MAIN maan loon
Mujh ko ISHQ hy TUM
sy

Tou Chalo TUM bhi kahi
Isi Sabab MAGHRUUR ho
TUM .
Zindagi se yehi gila hae mujhy,,,
Too baht der se mila hae mujhy,,,,
Too mohabbat se kooe chaal to chal,,,
Haar jany ka hosla hae mujhy,,,,,,,
Mere jaise ban jaoge jab ishq tumhe ho jaaye ga
Deewaaron se sir takrao ge jab ishq tumhe ho jaaye ga
Har baat gawarah kar lo ge, mannat bhi utaara karoge
Taweezein bhi bandhwao ge jab ishq tumhe ho jaaye ga
Tanhai ke jhoole khulenge har baat puraani bhoolenge
Aayine se tum ghabrao ge jab ishq tumhe ho jaaye ga
Jab suraj bhi kho jaaye ga aur chand kahin so jaaye ga
Tum bhi ghar der se aaoge jab ishq tumhe ho jaaye ga
Bechaini bhar jaaye gi aur yaad kisi ki aaye gi
Tumhe meri Ghazal yaad aaye gi Jab Ishq Tumhe Ho Jaaye Ga.......
Muje us Se Muhabt Hy,

Usy b yaad ho shayad,

Abi ye kal ki batein hain,

Mera us se khafa hona,

Mera usko mna lena,

Sarapa iltija hona,

Wo ab b yad hy mj ko,

Us k israr krny pr,

Mera iqrar kr lena,

Boht dheemy se lehjy me,

Ye us k kaan me kehna,

Qsm se hy,
Qsm se hy,

"Muje tm se MUHABBAT hy"...!
chalo dunia ko choor chalen

""sagar""

suna hai log boht yaad krte hain chaley jane k baad..
aaj phir yaad teri ayee hai
aaj phir raat kat na payegi
aaj phir nain barsenge
aaj phir neend rooth jayegi
aaj phir dil tuje pukarega
aaj phir aass toot jayegi
chor dain sari dunia kisi kay liyay
yay munasib nahi admi kay liyay

pyar say bhe zaroori kiii kaam hain
pyar sub kuch nahi zindage kay liyay