Rulana Har Kisi Ko

Rulana Har Kisi Ko
Rulana Har Kisi Ko Ata He,
Hasana Kisi Kisi Ko Ata He.
Rula Ke Jo Mana Le Wo Sacha Yaar He
Or Jo Rula Ke Khud Bhi Ansu Bahaye Wo Pyar hai
  

Jun, 04 2010     141 chars (1 sms)     5433 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

ehsas tu hai mujhe uski muhabat ka mohsin...

per wo mujh se nazrain chura ker guzrta kaoun hai.
isi chamn me hi hamara b ik zamana tha
yahin kahin koi sada sa aashiyana tha

nasib ab to nahi shaKh b nasheman ki
lada hua kbhi phulon se aashiyana tha

teri qasm are o jald ruthane vale
gurur-e-ishq na tha naz-e-aashiqana tha

tumhin guzr gaye daman bacha kr vrna yaha
vahi shabab vahi dil vahi zamana tha
Janey kab se mai''n teray chehray par
Apni Aankhain talash karta hon

Teray hathoon pe apne hathoon ki
Kuch lakeerain talash karta hon

Tujhse be-wajha baat karne ko
Soo daaleelain talash karta hon

Aasmanoo pe dhoondaa tha kabhi
Aab zameen pe tera naam talash karta hon

Haqeeqat-e-mohobat ko jaaney ke liyai
Khuwaab mai raahain talash karta hon

Saada kagaz pe jo nahi likhi
Aisi batain talash karta hon
Dilon Se Khelne Ka Hunar Hamein Nahi Aata,

Isliye Ishq Ki Baazi Hum Haar Gaye,

(M)er(i) Zindagi Se Shayad Unhe Bohot Pyar Tha,

Isi Liye Mujhe Zinda Hi Maar Gaye.
Aao mil k phir chalain hum tum wafa ki raah per
Aur dua mangain k jazba ab fana koi na ho
Har waqt kaam mein itne na ulajh jaya karo,
Kabhi hamari yaad ko bhi dil mein laya karo,

Milnay ka waqt maat nikalo par,
Kabhi apne sms ki awaz to sunaya karo.
kisi k hissay mein ghar aya kisi k hissay dukaan aee

mein sub say chota tha meray hissay mein MAA aee
Kuch apni fiker na apna khayal karta hoon
Tu kya yai kam hai teri dekh bhaal karta hoon


Meri jaga per koi aur ho tu cheekh uthe
Mein apne aap se itne sawaal karta hoon


Ager malaal kisi ko nahi mera na sahi
Mein khud bhi konsa apna malaal karta hoon


Yai chand aur sitare rafeeq hain meray
Mein roz unn se bayaan apna haal karta hoon


Tumhari yaad bhi aati hai abb mujhe kam kam
Tumhara ziker bhi abb khaal khaal karta hoon
aik muddat say teri yaad bhi aayi na hamain

or tujhe bhool gaye hon ham aisa bhi nahi..
Tang Aa K Jab Hum Wafa Baichne Nikle,,,,

Logon Ne Khaloos K Bhao Gira Diye....
Sub Roshnian muj say Roth gain Yeh kah kar.!
Tum Apney Ciragon ki Hifazut nahi Kartey.!
ek chhoti si nazar wo mujhpay bhi daal day,

ay rab e zuljallal usay itna khiyaal day,

itna bhi kia arooj k wo mill hi na sakay,

wo ho sakay mera usay itna zawal day.