Umar bhar chaha k zameen_o_asman

Umar bhar chaha k zameen_o_asman
Umar bhar chaha k zameen_o_asman humara hota

Kash k khwahishon ka bhi koi kinara hota

yeh soch k usko meinay roka hee nahi

Dour jata hee kion agar wo humara hota
  

Jun, 01 2010     170 chars (2 sms)     3016 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

~*~ woh...mujhe mila hota ~*~
aasmaaN ke malik say
do jahaN ke raziq say
aur kuch nahin chaha
sirf itna manga hai
pur-khuloos chahat ka
bay reya muhabbat ka
bay panaah rayazat ka
itna to sila hota
woh...mujhe mila hota
Chahe dil pyaar kare koi humse bhi
Humse koi vada kare aur nibhaye bhi
Khub sataye hame aur manaye bhi
Zindagi bar saat de aur saato janam bhi
Ummid ki Imarat deh gayi,
Aankhon se aansu ki nadi beh gayi,
Tumhaari kya izzat reh gayi,
Jab padosi ki ladki tumhe bhaiyya keh gayi!!!
Aashiyaan Banane ka Apko mauka to milA

hum ny Jb B dewaar Uthayi,toofanoo ka Tohfa he miLa
Bohat kuch mein ne kehna ha,
Bohat kuch tum ne kehna ha,
Dilon mein jitnay jazbay han,
Labon tak unko lana ha...
MAGAR YE MAJRA KEYA HA....?
Ke hum khamosh rehtay hein..
Na mujh se baat hoti ha,
Na tum izhar kartay ho,
Mujhe maloom ha sub kuch..
Jo mere dil mein pinha ha,
TUMHARE dil ki kafiyat se
Mein aagah hon laken,
Mujhe khamosh rehna ha,
Tumhen khamosh rehna ha,
MAGAR YE KAB TALAQ HOGA....?
Hamen khamosh lamhon ne,
Gar juda kar diya to phir....?
MUJHE TUM SE GILA HO GA...!

TUMHEN MUJH SE GILA HO GA...!
Kagaz ki kashti thi,pani ka kinara tha.

Khelne ki masti thi, Dil ye aawaaraa tha.

Kahan aa gaye is jawaani ke daldal me,

wo bachpan kitna pyara tha.
hum ap k dil main rehte hain,
Is liye her dard sehte hain,

Koi hum se pehle WISH na ker de apko,
Is liye sub se pehlay "Happy Ramadan ul mubarak" kehte hain
Bachpan ke dukh bi kitne ache the,
tab to sirf khilone tuta karte the.
Wo khushiyan bi na jane kaise khushiyan thi,
titli ko pakad ke uchhla karte the.
Paoon maar ke khud barish ke pani mae,
apna aap bhigoya karte the.
Ab to ek aansu bi rusva kar jata hai,
bachpan mein to dil khol ke roya karte the.
qadmoon main thi zameen safr fasloon main tha.

main door tha zaror magar raston main tha..
meri sarKashi B Thi munfarid
meri aajzi B Kamal thi,



main Ana Parast bala ka tha,
So Gira to Apne hi Paon main.
Meri dastan-e-hasrat wo suna suna k roye….
mere aazmaney wale mujhe aazma k roye…..

jo sunaai anjuman main shab-e-gham ki aap biti….
kuch ro k muskuraye kuch muskura k roye……..

teri kuch adaon pe.. kuch teri bewafaiyon pe…..
kabhi muh chupa k roye kabhi sar jhuka k roye…

mai hun bewatan musafir mera naam bekasi hai..
mera koi bhi nahi jo mujhe galey laga k roye…….

mere paas se guzar kar mera haal tak na pooch….
mai ye kaisay maan lu k woh door jaa k roye….
Bherkaain Meri Pyaas Ko Aksar Teri Aankhain
Sehraa Meraa Chehraa Hay Samundar Teri Aankhain
Phir Kon Bhalaa Daad-E-Tabassum Inhain De Gaa
Royengi Bohat Mujhse Bicher Ker Teri Aankhain