Ajab Charaagh se

Ajab Charaagh se
Ajab Charaagh se Jaltay hain Teri Aankhoon main...

Main Zindagi Teri Aankhoon pay Warna Chahoon....
  

Jun, 01 2010     103 chars (1 sms)     2456 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Aalam-E-Mohabbat Main
Ik Kamal-E-Wehshat Main
Besabab Rafaqat Main
Dukh Uthana Partaa Hai
Titlian Pakarne Ko
Door Jana Parta Hai
Lafzoo ki justjo ma sub Kuch ganwa dia,wo chal dia ma tarz-e-ada dhundta rha,us ko kisi na rub se lia mang,or ma sajday ma gir k harf-e-dua dhundta rha
Tumse rishta tod bhi nahin sakte aur jod bhi nahin sakte
tu Bewafa hai yeh soch ke tumse muh mod bhi nahin sakte
beshaq tu kisi aur ke haathon ki lakeeron mein hi sahi
yeh soch ke hum tumse milne ki aas chod bhi nahin sakte
Wo Ek Shab Jali Tou Usay SHAMMA Keh Dia

Hum Barson Se Jal Rahe Hyn Koi Tou Khitaab Do ?
Niqaab ko Be-Niqaab kar de
Hijaab ko Be-Hijaab kar de

Qasam hai Tujh ko Masoomiyat ki
Namaz-e-Fitrat Kharab kar de

Wo Qais hi tha jo Ulajhta raha
Jaib-o-Daman ki Dhajjiyon se

Mai us Junoon ki Talash mai hoon
Jo Chaak Tera Niqaab kar de

Tere Karam ke Ma''amley ko
Tere Karam per Chorta hoon

Meri Khataein Shumaar kar k
Meri Saza ka Hisaab kar de
Samajhte hai wo ke patthar hai hum,
Unn ko thokar maar jaayeinge,
Wo ek baar keh de nafrat hai hum se,
Apni chahat ki kasam phool ban kar bhi raah nahi aayeinge.
Kabhi Koi Apna Anjan Ho Jata Hy

Kabhi Kisi Anjan Se Pyar Ho Jata Hy,

Zaruri Nahi Jo Khushi De Usi Se Pyar Ho,

Dil Torne Walon Se Bhi Aksar Pyar Ho Jata Hai
Yoon bhi ham door rehtay thay..
Yoon bhi dilon mein ik kadoorat thi..

Tum nay rasman bhula diya warna..
Is takkaluf ki kya zarurat thi...
Mohabbat rang lati hai,

Jab dilse dil milte hai.

Mushkil to ye hai,

Dil badi mushkil se milte hai.
Ek nakaam hasrat
Ek tishna arzo
Ek beqarar Mohabbat
Ek Pyaasi Rooh
Ek Haseen Jazba
Ek adhoori Talaash
Ek Tarasti Tamana
Ek Natamaam Khwaab
Tum koi Nam Do
Ek Pechchann do
Wisaal O Hijar Me
Chiragon Se Saji Shaamo Me
Ya Be Noor Raato Me
Sehar Ho Roonuma Jesay Kahin Baaton Hi Baton Me
Koi Lipta Ho Jis Trah
Sandl Ki Khushbu Me
Kahin Pr Titliyon K Rung Tasweerain Banatay Hon
Kahin Pr Jugnuon Ki Muthiyon Me Roshni Khud Ko Chupati Ho
kahin Kesa Hi Manzar Ho
Kahin Kesa Hi Mosam Ho
Tere Saray Hawalo Ko
Teri Sari Misalon Ko

Mohabbat Yaad Rakhti Hai.......
Ab k Kerna Tou Kisi Aise Se Chahat Kerna

K Jis Ko Aata Nahi Ho Shikwa Shikayat Kerna

Teri Kam-Goi K Charchey Thay Zamane Bhar main

Kis Se Seekha Hai Tum Ne ye Baato''n ki Wazahat Kerna

Pehle Khusbhu K Mizajo''n Ko Parakh Lo Nadaan

Phir Gulestaan main Kisi Gul Se Mohabbat Kerna