Meri muhabbat mein ik yeh

Meri muhabbat mein ik yeh
Meri muhabbat mein ik yeh mojza bhi ho raha hai
Jisay mein chah raha hoon wo mujh say juda ho raha hai
Ussay lakh bhulana chah raha hoon bazahir tu mein
Par wohi meri duaon mein sar-e-harf-e-dua ho raha hai
Kya ussay ab zaroorat nahi meri diwangi ki
Kyou aisa ehsaas mujhay k wo be-wafa ho raha hai
  

Jun, 01 2010     303 chars (2 sms)     2829 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

jisAy Daikha




usAy mukhlAs jAnA,



''Aankhon''


Ne



Baray dhokay

Diye hAin.
Apni Takhleeq Se Wo
Khud Ko Ayaa''n Krta Hy

Us Ki Qudart a Ishara
Hy Tumhara Cheh
Aa Kabhi Andherey Main
Dekh Suurat-e-Dunya

Rung Tou Tamasha Hy
Sirf Dhuup Chaao''n Ka
Haqeeqat Hay,Yaqeen Kar Lo,Main Uss Ko Bhool Kar Khush Hoon

Muhabbat Mar Chuki Ab To, Main Uss Ko Bhool Kar Khush Hoon
Khwab ka aitbaar kr loo''n kya?
Ankh per inhisaar kr loo''n kya?

Maine kuch b nahin kaha tujh sy.
Aur bhi ikhtisar kr loo''n kya?

Teer aa kr mere qareeb gira.
Kya kro''n, aar paar kr loo''n kya?

Tu mohbt nahin,Aqeeda hy.
Main tujhey ikhtiyar kr loo''n kya.

Aik manzar bnanay wala hun.
Is mein shamil bahaar kr loo''n kya?

Zindgi to guzaar skta hun!
Zindgi ko guzaar kr,,, loo''n kya?

Dil b khamosh ho gya Faisal.
Raftagaa''n mein shumaar kr loo''n kya?
koi to Samete koi to Sambhale mujko

kuch der apni Banho me Sula le mujko

Bikhri hui Hawa k sath Safar me hoon

Kabi to Apne Ghar Bula le mujko

Me use Rakhoon Apne Dil ki Dharkan ki tarha

Wo bi Apni Ankh ka kajal Bana le mujko

Me Chahon Wo sirf mera hi rahe

Wo b Apni Zaat ka Qaidi Bana le mujko
Kabhi daman kabhi palkain bhigona KIS ko kehtay hain,

Kisi mazlom se pocho k "RONA" kis ko kahtay hain,

Kabhi meri jaga khud ko rakho phir "JAAN" jao gay,

K duniya bhar k dukh dil main "SIMONA" kis ko kahtay hain,

Meri ankhen meray charay ko ik din "GHOR" se dekho,

Magar mat puchna "WERAN" hona kis ko kahtay hain,

Tumhara dil kabhi piglay agar "GHUM" ki hararat se,

Tumhain malum ho jae ga k "KHONA"kis ko kehtay hain.
So Doorion Par Reh Kar Be Wo Mujh Say Juda Na Tha
Woh Meri Zindagi Tha Magar Be-Wafa Na Tha
Dol Na Zara Si Baat Ko Qayamat Bana Dala
Warna Kabhi Woh Mujh Say Itna Khafa Na Tha
hum to aaj bi us ko ussi tarah chahte hain..

jaise sookha hua darakht barish ka talabgar hota hy.
tu jo bichry to mily dard qyamat jesa
tujh se kesa ye ta,luq hy muhabat jesa
jisy chaho usy ehsas-e-khudai dy do
silsila piyar ka rakho to ebadat jesa
Ji tu kerta hai ussay muft mai jan de don mohsin...
Itnay masoom kharedar say kia lena dena...
rukhsat huwa to ankh mila kar be nahi gaya
wo kyun gaya ye bata kar be nahi gaya

wo yon gaya kay bada-e-saba yaad aagai
ahsas tak be hum ko dila kar nahi gaya

ghar main hay aj tak wohi khusbo basi hoi
lagta hay kay jasay wo aa kar hi nahi gaya

rehnay diya na us nay kisi kam ka mujy
our khak mian be muj ko mila kar nahigaya