Dard mein koi mausam

Dard mein koi mausam
Dard mein koi mausam pyara nahi hota,

Dil ho pyasa to pani se guzara nahi hota,

Dekhe zara koi bebasi humari,

Hum uske ho jate hain jo humara nhi hota.
  

Jun, 03 2010     161 chars (2 sms)     2605 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Mere hi hathon pe likhi hai taqdeer meri,

,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,

aur meri hi taqdeer par mera bus nahi chalta....!
ye Dil bohat udas hai
koi pegham hi likh do
tum apna naam na likho
gumnaam hi likh do
meri qismat main
gham-e-tanhaai hai lekin
tamam umer na likho
mager ik sham hi likh do
zarori tu nahi
k mil jai sakoon her kisi ko
sare-e-bazm na aao
sar-e-raah hi millo
ye janta hon k umer bhar
tanha mujh ko rahna hai
mager pal do pal ghari do ghari
meray naam hi likh do
chalo hum mantay hain k
saza k mustahik hain hum
koi naam na likho
koi ilzaam hi likh do
Yun daikhtey rehna usey acha nahi Muhsin. !
Woh kaanch ka paiker hai to pathar teri Aankhain
Manna K Hamari Zaat Main Buhat Aieeb Hain Magar..!!

Biktey Nahin Khuda ki Qasam Hum Ba Zameer Log..!!
Aaj hum bhi ek nek kaam kar aaye,
dil ki wasiyat kisi ke naam kar aaye,
pyar hain unse jante hain woh,
majburi thi jo jhuki nazron se inkar kar aaye!!
na rakh umeed e wafa ksi parindy sy.

zara par kya lagy apna hi ashiyana bhool jaty hain..
Wfa K Rooth Jane Pr Ghazal Takhleeq Hoti Hai

Kabhi Saajan Manane Pr Ghazal Takhleeq Hoti Hai

Main Lafzon K Samander Mein Mila Deta Hoon Sochon Ko

Phir Un Ki Yaad Aane Pr Ghazal Takhleeq Hoti Hai

Chaman Mein Raqs Krti Hai Sba Jab Phool K Aage

Tu Un K Muskurane Pr Ghazal Takhleeq Hoti Hai

Mujhe Aata Nhi Hai Sh''er Likhna Ek Bhi Lekin

Tumhari Yaad Aane Pr Ghazal Takhleek Hoti Hai... ;->
us nay door rahnay ka
mashwara bhi likkha hai
sath he muhabbat ka
wasta bhi likkha hai
us nay yah bhi likkha hai
meray ghar nahin aana
saaf saaf lafzon mein
raasta bhi likkha hai
kuch huroof likkhay hain
zabt ki naseehat mein
kuch huroof mein us nay
hosla bhi likkha hai
shukriya bhi likkha hai
dil say yaad karnay ka
dil say dil ka hai kitna
faasla bhi likkha hai
Apki yad ne mujhe fir rula diya,

bahut khush ho ap zalim jisne hame ye sila diya.

Do shabd bhi likhna na ata tha hume,

or aaj apki mohabbat ne mujhe shayar bana diya.
wo khatam qaid ki miad bhi nahin krta,
magar main zahmat-e-feraad bhi nahinkrta,
kabhi kabhi wo itna yad aata hay"faraz''
main zid main aa kr use yad bhi nahin kr
Aik Zara Si Ghalti Se Shaak Ki Zard Tehni Pe
Phool Badgumani K Iss Tarah Se Khilte Hain
Zindagi Se Pyare Log Bhi Phir?
Ajnabi Se Lagte Hain
nigah-o-dil teray baray maiN muttafiq hi na thay.
maiN khud say kitna lara hooN teri muhabbat maiN...