agar wo wajah na pochay

agar wo wajah na pochay
agar wo wajah na pochay tu ik baat kahon"mohsin"

bin us k ab hum say bhi jiya nahi jata..
  

May, 28 2010     93 chars (1 sms)     2683 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Waqt nay saari kahani he badal daali
Pyar ka naam jo aata hai to dar lagta hai
Zakham kuch esay bhi apnon nay diay hain mujh ko
Ab koyi haath milaata hai to dar lagta hai!!!
Badalti Rutt Ki Wajah Se, Zra Bojhal Tabiyat Hay

Yun Mera Haal Mat Poocho, Main Uss Ko Bhool Kar Khush Hoon
Zameen par hai magar aasman jaisi hai
Woh narm narm see larki chattan jaisi hai
Meray haroof bhi jhootay hain meray jazbay bhi
Meri kahani bhi saray jahan jaisi hai
Yeh shaam mil k bicharnay ka ista-ara hai
Yeh raat hijar k kalay nishaan jaisi hai
Hawaein roz bhujaati hain khuwahishon k diye
Yeh zindagi bhi andheray makan jaisi hai
Mein apnay sath hoon ya koi dosra hai ZIA
Yaqeen ki yeh ghari bhi gumaan jaisi hai
Suno
Jahan sawal k badlay sawal hota hai
Wahin mohabbaton ka zawal hota hai
Kisi ko apna banana hunar he sahi
Kisi ka ban k rehna kamal hota ha
Dil Hii To Toda Tha Kisi Ne Aye Mere Hakeem
Kyon Hua Ke Zakhm Mera Ye La-Dava Nikla

Aaj Hai Apnii Bulandii Par Tujhe Kitnaa“ Naaz“
Isii Zameen Se Yaad Rakh, Hai Aasmaan Nikla...
apney haseen charey ko siyah zulfon main chupa lo..

hum gustakh log hain choom liya krtey hain
Nighahain bolti hain Betahasha

mohabat paglon ki guftgu hai.
woh barsaat
jis ke intizar main bara maah guzre
kaali ghataa chaane ke baad
poora samaa jhal thal ho gya
pattay bheege
phoolon ne bhi ghusal kia
per mere honton ko
us aek katray ki pyas rahi
jo teri zulf se ho kar
tere rukhsar pe bahay
aur jab wohi aek katra
teri ghulab ki pankharion
se labon per aa ke thehray
apni barson ki pyas bhuja loon
teri aankhon ko choom loon
tere sapno main ashiyana bana loon
tere labon ko choo loon
teri har baat ammar kar doon
tere ghulabi rukhsaron per chehra laga ke
kisi dhoop main chaon ki manind
umer guzar doon
tera wajood orh loon
kahe to zindagi tere naam kar doon
Pyaar kamjor dil se kiya nahi ja sakta,
Zeher Dushman se liya nahi ja sakta,
Dil mein basi hai ulfat jis pyar ki
us ke bina jiya nahi ja sakta.
Tu Dekh Ya Na Dekh Tere Dekhne Ka Gham Nahi
Par Teri Ye Na Dekhne Ki Ada Dekhne Se Kam Nahi
Tum na maano magar hakeekat hai,
Ishq insaan kee jaroorat hai.
Uski mehful mein baith kar dekho,
Jindagi kitnee khoobsurat hai.
Kahin tum bhi na ban jana mazmiin kisi kitaab ka

....."Qanwal".....

LOg baray shoq say parthay hain kahaniyan be'wafaon ki