kis ko qaatil main kahunn

kis ko qaatil main kahunn
kis ko qaatil main kahunn kis ko masiihaa samajhoon
sab yahaan dost hii baithe hain kise kyaa samajhoon

vo bhii kyaa din the kii har vaham yaqeen hotaa thaa
ab haqiiqat nazar aaye to use kyaa samajhoon

dil jo tootaa to kaii haath duaa ko uthe
aise maahaul main ab kis ko paraayaa samajhoon

zulm yeh hai kay hai yaqtaa terii begaanaaravii
lutf ye hai kay main ab tak tujhe apanaa samajhoon..
  

Jun, 03 2010     405 chars (3 sms)     2756 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages


Dil Ab Tak ...

Wasl k Un Lamho''n

k Asar Main Hy ...

Main Jab Sy

Tum Se Mil k Aaya Hoon

Mera Sab Kuch Safar Main Hy !!!
Khwab bn k koi aye ga to neend aye gi

ab wohi ah k sulaye ga to neend aye gi

dil ki wo bat jo ankhu se beyan hoti hai

koi honto se sunaye ga to neend aye gi.
Manzilain un ko
mila karti hain
jin ka sheva ho
faraib...


Hum ne to
Daastaan-e
sadaaqat main
luta dee
zindagi apni..
shayad kabhi arsa-e-ashk shub kat na sake..

tu subha ki hawa hai hum shaam k charagh..
oski muhabbat mere lia
bhini bhini
muatter muatter
raat ki rani
oska lams mere lia
jadoo jagata
khul ja sim sim ki kahani
oski intaha mere lia
had se be-had
la-mehdood bhi be-ma''ni
oski deewani ospay merti
oski chahat uski tammanah uski arzu
mangay hae panj waqta duain OSKAY HUZOOR
BEPERWAH,GHANI-Ul-QADEER
sone ga zaroor
hum ko gali mein dekh kar khud ko chupa lia jany yeh dushmano nay usay kya sikha diya ghar us nay kya banaya masjid k samnay chahat nay uski humko namazi bana diya
jo ruke to koh-e-giran the hum''jo chale to jan se guzar gaye
rah yaar hum naye kadam kadam tujhe yadgar bana deya
Jo khud pe jheel chukey hon karb totey hue dil ka
Wo kisi ka dil dhukhaney par aamada nahi hotey…/
wo jo raha krta tha hr lamha mere sath.
amir
ub bhi rahta hai sath mere lykn yadon main.
Faryaad Ker Rahi Hy
Tarasti Hui Nigahei''n
"Faraz"

Dekhe Huey Kisi Ko
Bohat Din Guzar
Gaye ... !!!
bhOoli BiSrii yAdOun Ki KirnOun Ko Saja Kar rOye hAin
Wo Chehra Jab yAad Aaya hUm Shama jAlla Kar rOye hAin

Sath tUmhara Kia chOota Tha dArd Sey Har RiShta tOota Tha
Yeh AanSOo hAin KhUshi K AanSOo tUm Ko Pa Kar ROye hAin

Apni Hii majbOori Thi jO hOnt Hmaray khUl Na Sakay
jAb Bhe Manga KHUDA Sey Tumhien bUs Haath Utha Kar rOye hAin

yAad hAi Ab Tak Shaam e jUdaii Wo Palkien Bhe Bheegi Thien
"Rashid" Aaj Unhien AankhOn K Khwaab Saja Kar rOye hAin
Apne asool yun b kbhi torne pare,
uski khata thi hath mjhe jorne pare...

Aya na jb qarar dil-e-beqara ko,
tu yadoon k rukh mjhe tmhari taraf morne pare...

Unko tu meri yad b na i bhool kr,
apne parae jn k liay chorne pare...

Wo shakhs bara ba-asool tha,
apne asool jis k liay mjhe torne pare.......