Yeh Soch K Nikal Parha

Yeh Soch K Nikal Parha
Yeh Soch K Nikal Parha Hai Sard Raaton Mein Phirnay "FARAZ"

kaahin Chaand Ko Ehsaas-e-Tanhaai Naa Ho
  

Jun, 02 2010     104 chars (1 sms)     2840 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Woh
Aksar Mujhe Pagal Kehta Hai
Aur Mai
Sochtee Hoon Kay
Mujhe Pagal Bananay Wala
Mujhe "Pagal" Kyun Kehta Hay
Ajeeb Hijar parasti Thi Uski Fitrat Mein
Shajar Ke Tooty Patty Talash Kerta Tha
Qayyam Kerta Tha Wo Mujh Mein Soofyon Ki Tarah
Udas Reh Ker Goshay Talash Kerta Tha
Tamam Rat Wo Zakham De ke Apne Pairon Ko
Mere Wajod Ke Raizay Talash Kerta tha
Duain Kerta Tha Ujray Huy Mazaron Per
Bary Ajeeb Sahary Talash Kerta Tha
Bhulaye Kyun Aziyat Pasandiyan Uski
Khusi K Dhair Mein Sadmay Talash Kerta Tha
Jab apne aap se kat ker jiya hoon jaan-e-Fareed
To phir main tujh se taaluk bahaal kya kerta

Jise badan ki nahin pyaar ki zaroorat thi
Woh badnaseeb tere khad-o-khaal kya kerta?
Kuch Batain Hum Se Suna Karo,

Kuch Batain Hum Se Kiya Kao,

Mujhe Dil Ki Baat Bata Dalo,

Tum Hont Na Apne Siya Karo,

Jo Baat Labon Tak Na Aa Sake,

Wo Aankhon Se Keh Diya Karo,

Kuch Batain Kehna Mushkil Hain,

Tum Chehre Se Parh Liya Karo,

Jab Tanha Tanha Hote Ho,

Aawaz Mujhe Tum Diya Karo,

Har Dharkan Mere Naam Karo,

Har Saans Main Mujh Ko Piya Karo,

Be Rang Agar Yeh Jeevan Hai,

Mere Haal Se Rang Liya Karo,

Jo Khushiyan Teri Chahat Hain,

Mere Daman Se Rang Liya Karo...!!
zindagi mein ayein hai kuchh daur is tarah,
sawan mein aate hain toofan jis tarah.
mujhe se door ho chuke woh mere apne kuchh aise,
ki marne ke baad jism se rooh jis tarah
Wo Kehti Hy
k
Hum Saari Raat
Unhei''n
Soney Nhi Dete

Hum Kehty Hyn
k
Aap Ki Yaad Ka
Noor Hi Kuch Aisa Hy
k
Aap Humari Raat
Honay Nhi Dete .. ;)
Subah Hoe To Aankhain Aisay Neend Se Bojhal Thin

FARAZ

Jaisay Koi Jag Raha Tha Mujh Main Sari Raat
Aik Zara Si Ghalti Se Shaak Ki Zard Tehni Pe
Phool Badgumani K Iss Tarah Se Khilte Hain
Zindagi Se Pyare Log Bhi Phir?
Ajnabi Se Lagte Hain
ek roz koi tou sochay ga,
ek shakhs tha pagal pagal sa.
pr baatain theek hi kehta tha,
baraish ki tarha pur-shor na tha.
dariya ki tarha chup rehta tha.
aur jin se pyar wo kerta tha,
judai bhi unhi ki sehta tha.
ek roz koi tou sochay ga,
kyun jetay-ji dargore kuwa.
kis ranj ne usko maar dia,
ek roz koi tou sochay ga,
or pehron baith ke roye ga.
Bik Raha Tha Waqt k Bazaar
Mein Meri Ghairat Ka Lahuu

Mudd k Jo Dekha Tou Apna
Hii Dost Kharidaar Nikla ...
Hathelii
Duwa to janey
kon se thi zahain mai nahi
bas itna
yaad hai k
do hateliyan mile hoyee thi
jin mai say
ek MERI thi OR ek TUMHARI
Udaasiyan Badi Pathjhar ki tarha Chayi thi,

Kisi ki Yaad se Dil mein Bahar le aaye …!!!