tumhain jana zarori

tumhain jana zarori
tumhain jana zarori hay .........
chalo phir is terhan ker lo
tum apnay rastay ho lo
naae manzil koi dhondoo
naae dunya basaao tum
mujhay kuch dair rukna hay
yahan kuch kam kernay hain
yahan yadain hain kuch mairee
wo kuch beetay howay lumhay
wo anchal say giray thay ju
bikher ker dor tuk
mujhko paraishan ker rahay hain ju
unhain ik jaah kerna hay
kahain par dafun kerna hay
muhabbat kee qaber per ik naya qotbaa lagana hay
phir is kai bad mujhko lout jana hay
ab itnay kam hain janaa
tumhain jaldi hay tum jao
mujhay kuch waqt lag na hay
yai mah-o-saal hon shayad
ya shayad hon kaee sadyaan
tu phir kub tuk yahan baithee raho gi tum
  

Jun, 07 2010     656 chars (5 sms)     2633 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

mohsin us ki hansi main chupy dard ko mehsos tou kr
wo tou unhi hans hans k khud ko sza daita hai
yeh bhi ma'' loom hay na aao gaey
muddaton se par intizaar wohi

meri wehshat ka rang bhi wesa
aur khaali tera diyaar wohi
KABHI SHABNAM TO KABHI SHABAB LAGTI HAI
TERI HANSI EK KHILTA GULAB LAGTI HAI
MAI PIYUN YA NA SAHI
LADKHADA KAR CHALTA HOON
KYONKI TERI GALI KI HAWA BHI
AB SHARAB LAGTI HAI................
JO GUFTUGU NAHI WO BAT BHI SUNA DOUNGA, TO EK BAR TO MIL SAB GILAY MITA DOUNGA. MAJAL HAI MUJHAY TUJH SAY KOI JUDA KAR DAY TO JAHAN JAYE GI MAIN TUJHAY SADA DOUNGA. TERI GALI MAIN BHOT DIER SAY KHARTA HUN MAGAR, KISI NEY POCH LIYA TO JAWAB KIYA DOUNGA. YUHIN UDDAS RAHA TO DEHKNA EK DIN, TAMAM SEHAR MAIN TANHAYIAN BICHA DOUNGA. WO DARD HI NA RAHA WARNA AYE SHAH MUJHAY GUMAN BHI NA THA KAY MAIN TUJHAY BHULA DOUNGA...........
Kya Kahe ki Kuch Kaha Nahi jaata,
Dard-Meetha hai par Saha Nahi jaata,
Dosti Ho gayi hai is Kadar aapse ki,
Bina yaad kiye Raha Nahi jata?
Jab Kabhi Dil Ko Wo Yadon Se Rehai De Ga
Mere Ander Koi Toofan Sunai Dega
Uss Se Milte Hee Yeh Ehsas Hua Tha Mujhko
Ye Wohi Shaks Hai Jo Lambi Judai De Ga
Do kadam ab to chala nahin jaata humsey..
E chand tu hi merey meet ko yeh paigaam dey...
Te''her gayi hai Tanhaii aakar raat ki tarah,
Zindagi mey meri bhi kuch subaah-shaam dey....
Ya rab humain tuj say koi gilla bhi nahi,
Wo naseeb main nahi tha is leya mila nahi..

Seencha tha jiss chaman ko apnay dill kay lahoo say,
Phir kyu barsaat main koi phool khila nahi..

Na lagaay koi chot is dill_e_ natawan per,
Abhi tu phichla zakham bhi muj say siila nahi..

Mangaa tha jhooliian utha utha kar usay,
Mager humain duwaoon ka koi siila mila nahi..
Kitni ajeeb baat hai k
wahi jo bachpan main
chiria k ghonslay say
girnay walay bachon ko daikh ker
bay chain ho jatey hain
aur pankhay say takra kar
mar janay wali chiria k sog main
kai kai ghantay udaas rehte hain
wahi baray ho kar na janay
kyun aashyanay jala daitay hain?
mujh mian aib soo honge magar ek khobi hai.

mian kisi ko raste mian chorda nai karta.
Saara shehar meri deewangi say waqif raha magar...

Ik shakhs ki aankhon say be-aitbaari na gayi!!!
chiraagoon say agar andherey door hoty to chand ki chahat kise hoti,,,,,

akeley zindagi agar cut jaati to pyaar sirf naam ki cheez hoti.............