Yun achanak se aa

Yun achanak se aa
Yun achanak se aa jati ho samne,

k mai kuch bhi keh paata nahi,

Kya kahu tere husn k sajde me,

Ke koi sher bhi yaad aata nahi
  

Jun, 02 2010     134 chars (1 sms)     4294 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages


Gile kagaz ki tarha hai jindgi apni,
koi jalata bhi nahi or koi bahata bhi nahi,
is kadar akele hai raahon me dil ki,
koi satata bhi nahi aur koi manata bhi nahi
nahi masroof main itna k ghar ka rasta bhoolon.

Koi jab muntazir na ho to ghar acha nahi lagta..
Barsat ke mosam se tujhy pyar buhat tha.....Abb dekh le aa kar mare bheegi hoi ankhein.
apne geetu mai dal kar nelam kar geya
ek esa shaks tha jo badnam kargeya
wo mere dushman he the
jo dohndty rahy zamany bar mai
ye apnu ka he war hai jo kam kar geya
ae khuda wand tala ye kasi teri dunyia hai.

Kah zinda insan zindgi mangta hai tuj se.
Chaha Hy Khuda Se Kch Aisa Rishta Humara

Main Teri Zaat K Pehlu Main Gumm Ho Jaon

Na Koi Ker Paye Humain Ek Duusre Se Alag

Main Apne Aap Se Niklo''n Tou Tum Ho Jaon
Kyun itne kareeb chala ata hai koi,
Kyun Mohabbat ka ehsaas dila jata hai koi,
Jab aadat si hojati hai dil ko uski,
Toh Kyun itni duur chala jata hai koi
Kitne Pas Or Kitne Door HAin Hum
Khuda Hi Janta He K Kitne Majboor Hain Hum
Saza Ya ha k Mil Nahi Sakte Ap Sa
Ghuna Ya Ha K BeQasoor Hain Hum..............
cheharaa meraa thaa nigaahen us kii
Khaamushii mein bhii vo baaten us kii

mere chehare pe Gazal likhatii gaien
sher kahatii huii aankhen us kii

shoKh lamhon kaa pataa dene lagiin
tez hotii huii saansain us kii

aise mausam bhii guzaare ham ne
subahen jab apanii thii shaamen us kii

dhyaan mein us ke ye aalam thaa kabhii
aankh mahataab kii yaaden us kii

faisalaa mauj-e-havaa ne likkhaa
aandhiyaan merii bahaaren us kii

niind is soch se tuutii aksar
kis tarah kaTatii hain raaten us kii

dOor rah kar bhii sadaa rahatii hai
mujh ko thaame hue baahen us kii,
Zindgi kuch bhi nahi fir bhi jiye jate hai.n
tujhpe e waqt hum ehsan kiye jate hai. . .
meri nazmain, meri duniya
zindgi jaisi
uljhi uljhi , bikhri bikhri

meray misray aankhon jaise
gheray gheray
meri nazmain zulfoon jaise
uljhi uljhi, bikhri bikhri

meri muhabat meray jaise
pakiza si , nikhri nikhri
teri muhabat teray jaisi
uljhi uljhi , bikhri bikhri
duaa karo ki ye paudhaa sadaa haraa hii lage
udaasiyon se bhii cheharaa khilaa-khilaa hii lage

ye chaaNd taaron kaa aaNchal usii kaa hissaa hai
koii jo duusaraa oDhe to duusaraa hii lage

nahiin hai mere muqaddar men raushanii na sahii
ye khiDakii kholo zaraa subah kii havaa hii lage

ajiib shaKhs hai naaraaz hoke hansataa hai
main chaahataa huuN Khafaa ho to vo Khafaa hii lage