mujy teri judai ne yahi meraj bakhshi hy k main jo lafz likhta hoon wo saary lafz roty hain k main jo harf bun'ta hoon ...wo saary bain karty hain mery sang is judai main mery alfaz marty hain sabhi tareef karty hain meri tehreer ki lekan kabhi koi nahi sunta maery alfaaz ki siski falak b jo hila daaly mery lafzon main hy shamil usi taseer k aansu kabhi dekho mery hamdam MERI TEHREER K AANSU
Tere Khuabon ki Duniya or mein Tanha!
Raat Sumandar Chand Hawa or mein Tanha!
Koi to kash mera Bhi Gham saaz bane !
Mujh se sare loog khafa or mein tanha!
bhut mumkin hai dunia cheen le mujh se teri yaadian.
keh main ub or tere ghum ki hafazt ker anhi sakta.
mujhe aazaad ker touk-e-aasri bakhshne wale.
main zanjron main elaan-e-baghwat ker nahi sakta.
meri mushkil ye hai kh mujhe adakari nahi ati.
haqiqi aadmi rasmi mhubat kar nahi sakta.