Daagh-e-Sajood ager teri P

Daagh-e-Sajood ager teri P
Daagh-e-Sajood ager teri Peshani pey huwa to keya,

Koi aeysa SAJDA bhi ker k Zameen pey Nishan rahey.
  

May, 28 2010     104 chars (1 sms)     2934 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Chandni Raat Mein Aur Bhi Shidat Say Aaye Gee Us Ki Yaad
Behtar Hai Faraz So Jana Shaam Say Pehlay
isi chamn me hi hamara b ik zamana tha
yahin kahin koi sada sa aashiyana tha

nasib ab to nahi shaKh b nasheman ki
lada hua kbhi phulon se aashiyana tha

teri qasm are o jald ruthane vale
gurur-e-ishq na tha naz-e-aashiqana tha

tumhin guzr gaye daman bacha kr vrna yaha
vahi shabab vahi dil vahi zamana tha
Ab Aur Manzil Pane Ki Hasrat Nahi
Kisi Ki Yaad Me Mar Jane Ki Fitrat Nahi

Aap Jese Dost Jabse Mile
Kisi Aur Ko Dost Banane Ki Zarurat Nahi
Samjha do apni yadon ko
wo bin bulaye pas aaya karti hain

aap to door reh kar satate ho magar
wo pas aakar aksar rulaya karti hain
Utar rahy hain jo Dil main khayal tery
hain,


K meri
chashm-e-tamanna main khawb tery
hain,

Kitab meri qalam mera soch b meri,


Mgr jo likhy hain me ny wo baab tery hain,


Tu meri zaat ka 1 mustanad hawala hy,

Kuch din pehle mohabbat ko sapna samjha hum ne
Muhabbat hue mohabbat ko apna samjha hum ne

Mohabbat main iskadar madhosh ho Gaye
Is ki bewafai ko wafa samjha hum ne ..
Na hum tum se juda hain
Na tum hum se juda ho
Rasayi ho gayi hay

Jawani ga rahi hay
Umangon k tarane
Haqeqat ban gaye hain
Mohabbat k fasane
Tumhi nagma ho mera
Tumhi is ki sada ho
Rasayi ho gayi hay

Bahareen har taraf hain
Bara rangeen safar hay
Nirali manzilon ka
Anokha rehguzar hay
Mere tum rahbar ho
Mere tum rahnama
Rasayi ho gayi hay

Tumare haath main ab
Rahe ga haath apna
Rahe ga zindagi bhar
Yunhi ab sath apna
Tumhi jane tammana
Tumhi jane wafa ho
Rasayi ho gayi hay
Pehlay Trasha Us Ne Kanch Se Mera Wajood....

Phir Shehar Bhar K Haath Mein Pathar Thama Diye . . .
sub se yun milna k jesay dil main koi dukh na ho,
mujh main ye khoobi hai sub khaamyon k bawajood
Main Thak Gayi Hoon Jana''n
Kandho''n Pe Daale Kab Se
Beetey Dino''n Ki Yaadai''n
Tumhari Rah Guzar Main
Gumsum Khari Hui Hoon
Ek Aas Si Hai Dil Ko
Palto Ge Tum Kabhi Tou
Lekin Ae Mere Jana''n
Tum Se Meri Taraf Tak
Jitne Bhi Raaste Hain
Wo Bad-Gumanion K
Kanto''n Se Bhar Chuke Hain
Kanto''n Main Meri Khatir
Koi Rasta Bana Lo
Bas Ab Mujhe Mana Lo. . . !
Hum gam ko chupa ke muskurate gaye.
wo had se zyada humko satate gaye.
Meri aankho ki ghata barasti rahi,
wo sawan samajh kar nahate gaye.
Kehtey Hain
Toot-ta Taara Daikh Kar
Jo Dua Maango
Woh QabooL Hoti Hai
Suno!!
Mainey Bhi Tumhein Maang Liya Hai...!