Dekhoo Muhabat Karoo Tu Itni Karoo K Koi Had Na Rahay
Intezar Karoo Tu Itna Karoo K Koi Waqt Na Rahay
Bharoosa Karoo Tu Itna Karoo K Koi Shak Na Rahay
Nafrat Karoo Tu Itni Karoo K Phir Muhabat Na Rahay
Ek chahat, ek armaan, ek aas ho tum
Baaton mein meri chhipa ek ehsaas ho tum
Jismein hai bheegne ki khwaish woh barsaat ho tum
Dil mein basa hai jo, roz jo dekhti hun main, woh khwaab ho tum...
Tumhe Banho Me Bhar lete
Tumhe Sab se Chupa lete
Tumhe Ankho Me Rakh Lete
Kabhi Na Roothne Dete
Kabhi Na Tootne dete
Tumhe Hum Qaid kar lete
Bus apne dil ki dunya me
Kisi bhi haal me hum phir
Tumhe azaad na karte,
Sabhi dunya bhula dete,
Tumhe apna bana lete,
Hamare bus me hota tou,
Magar hai bebasi aisi,
Hamara dil machalta hai,
Tumhe hi yad karta hai,
Tumhara qurb chahta hai,
Magar hum kya karen jana,
Hamara bus nhi chalta ;->
Pyaar ka to Dushman Zamana hai,
Har Aashiq ke Pyaar ka apna hi fasana hai.
Sab ko pata hai Ansu hi milte hai Pyaar me,
Phir bhi kyun har koi Pyaar mein Deewana hai
gham-e-zindagi sai farar kya
ye sukoon kya ye qarar kya
gham-e-zindagi bhi hai zindagi
jo nahin chen tu nahin sahi
sar-e-toor ho sar-e-hasher ho
hamain intezaar qubool hai
wo kabhi milain wo kahin milain
wo kabhi sahi wo kahin sahi........