Mera Shaaur Behalta

Mera Shaaur Behalta
Mera Shaaur Behalta Nahien Hai Lafzon Se
Mein Tere Khatt K Nahin Tere Intizar Mein Hoon
  

Jun, 03 2010     88 chars (1 sms)     2779 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

teri yadoon ke bina koi lamha guzara nhin
ik pal nhin jub tumein hum ne pukara nhin

meri nakamiyun ka itna be gham na ki jiye
agar app jeetey hein toh mein hara nhin

ye naqsh_e_dard kesey utara jayein chehrey se
mein ne abi app ka gham dil se utara nhin

tere bin yoon kat rahi darya_e_zindagi mein
kashti be hai maaji be hai kinara nhin

kar rakha hai jiss ne sarey ghar mein ujala
ansoo hein mera ye koi toota houa tara nhin

kiss ko galey laga ke royein namuraad hum
iss bhari duniya mein apna koi sahara nhin

mareez_e_ishq hai tamanai khudkushi ka ab
gehrey hein dil ke zakham aur koi chara nhin!
kal raat
chand ko dekh kar
ek ajeeb sa ahsaas hoa
dil ki dharkanon ney
dhire sey kuch kaha
tumhara dil
chand k jesa ha chamakta hoa
mager
phir dil ney kaha
k chand main tu dag ha
mager
tumhara dil
bilkol saaf ha
is tarah
jis tarah shaffaf aaiyena
aur is aayeney main
sirf ek he tasweer ha
jo mere ha......
ISHQ wahi hai jo ho ektarfa,

IZHAR e ishq to khwahish ban jaati hai,

HAI agar ishq to aankho mein dekho,

ZUBAN kholne se ye numaish ban jaati hai..
"Raat"

Raat hai or main hathoon ko dekhtay huay
Soch raha hoon k ye Zindagi kis k naam karoon
Us k Naam jo dil ki Dharkano main hai
Ya phir us k Naam jo Hathoon ki lakeeron main hai..
kuch is liye b wo hum se khafa raha

amir

wo jan gya tha k humain un se pyar buhat hai...
Mohabbaton ki saza bemesaal de usnay,
Udas rehnay ke aadat daal de usnay,
Meray wjood pe jab itnay zakhm dekh chuka,
To jan boojh k kanton ke shaal de usnay.
Ye Pyari Nigahein Yaad Rahengi
Milkar Na Milne Ki Ada Yaad Rahegi
Mumkin Nahi Ki Main Tumhe Bhula Dun
Aur Umar Bhar Tumhe Bhi Meri Yaad Rahegi
Tere Ankhoo May Ansuoo Key Chammak Deakhy
Teray Chehray Per Gum Key Dahnak Deakhy
Phir Pucha Kya Baat Hai Toa Kehnay Lugy
Khawab May Tumhare Judaee Key Jahlak Deakhy
Agar Kabhi Kitaab Likho
Chahato’n K Naam Likhna
Rafaqato’n K Naam Likhna
Tumhari Mujs Se Dosti Ki
Wo Pehli Pehli Baat Likhna
Payam Likhna Wo Dosti K
Qabuliyat K Muqaam Likhna
Wo Hijr Ki Raato’n Ki Baat Likhna
Wo Vasl Din Ki Mulaqat Likhna
Ikhtitam-e-Kitaab Aaye Tou Soch Lena
Yaad Kerna
Aur
Apna Mera Naam Likhna . . .
pachli raat ana tha us ne mare khuwab main.

haye us k khayal ne raat bhar sone na daya.
Kaho ab Kia Kahon TUm Say!
Batao ab kia likhon tum ko!
Mujhay Tamheed do koi
Mujhay Umeed do koi
Naya ek lafz ho koi
jahan say baat chal niklay
meri mushkil ka hal niklay
Batao lehja kaisa ho
kay tum say baat karni hai
kaho ab kya irada hai
mujhay izhar karna hai
kay tum ko yeh batana hai
tum aksar yaad atay ho !!!
Kon karta hai wafaon k taqazay tjh se,
Ham to ek jhoti tasalli k talabgar hain bas.