Main Ne Jis Shaakh Ko

Main Ne Jis Shaakh Ko
Main Ne Jis Shaakh Ko Phoolon Se Sajaya Tha Faraz,



Mere Seenay Main Ussi Shaakh Ka Kaanta Utra..!!
  

Jun, 02 2010     106 chars (1 sms)     2741 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

koi dukh na ho
koi gham na ho
koi ankh kabi num na ho
koi dil kisi ka toray na
koi sath kesi ka choray na
bus pyar ke nadiya bahti ho
kash k dunya asi ho!!!
Na Khushi Na Koi Tamanna He Ab

Bas Apne Hi Saye K Sang Rehte He Hum

Kaise Kahe Kaise He Hum

Bas Yu Samajhlo Aap Khush He To Khush He Hum
Mohabbat ub nahi hogi ye kuch din baad main hogi
Guzar jain gay jub ye din to inki yaad main hogi
Aaj us ne Meri Mohabbat main Kisi ko Shareek kia to Ehsas hoa
...........Ya Rab.............
K tu Shirk krnay walon ko Muaaf ku nahi krta
Mere Din Raat Mushkil Mein,
Sukoon Ek Pal Nahi Mujh Ko...
.
Mohabbat Taras Kha Mujh Par Mohabbat Chorh Ja Mujh Ko....
Tumharey waastay rakhay hain do tohfay,
Dil ibtida k liyeh'' Jaan intiha k liyeh..!
Kata Hai Haj Kaa’abe Ka Safar Bhi
Surror-O-Kaif Ke Saagher Luundhaate

Yaheen Gaari Mai Huuqqa Mil Gaya Tha
Karachi Tak Gaye Hain Kash Lagaate
mere haathki lakeerain to khafa hain mujh se..sahil"
tum apney he haathon mein mera mukadar dekho.

Piyas Aesi K Pee Jaon Aankain uski
Naseeb Aesa K moyasar Zehar B Nahi
Be-Los Wafain Koi Hum Se Seekey
Jisey Toot K Chaha Usey Khabar Nahi
Samahet kho chuka tha kiya usay sada daitay
Yahi bohat tha kay yah wakaea bhula daitay

Humaray ikhtiyar main hota gar yah sanam
Tairay khatoot kiya tasweer b jala daitay

Na dushmni b saleekay say ho saki tum sy
Diya tha aas ka ik bar hi bujha daitay

Yahi bohat hy k khud ko sambhaal kr rakha
Hum unko mil b jo jatay to woh ganwa daitay

Jo apni zaat me dhoka aor faraib thy CHANDA
Woh humain kaisay wafa ka koi sila daitay
Bohat “ROYA” kary ga Wo,

Hijar ki weeran Raaton mein,

~ ~

Hamari Qurbatoon k jab,

Saharay “CHOOT” jaen gey…

Tum k sunte rahe,
auron ki zubani logo,
hum sunate hain tume,
apni kahani logo

Kon tha dushman-e-jan,
wo koi apna tha k gair,
han wahi dushman-e-jan,
dilbar jani logo

Zulf zanjeer thi zalim ki,
tou shamsheer badan,
Roop sa roop,jawani c jawani logo

Hum jo pagl thy,to be''waja nhi thy pagl,
Ek duniya thi mgr,uski deewani logo

Han wahi nam k jis naam se wabsta hai,
Hr mohabat,wo na''i ho,
k purani logon

Hum hi saada thay,
kiya us pe bharosa kya kya.
Hum hi nadan thay,
k logon ki na maani logo

Kis tarah bhol gaya,qol o qasam wo apne,
Kitni be''sarfa gai,
yad''diyani logon.../ ;->