Aisi Hawa Chali Sab Phool Jal gaye
Sab Se aziz Log B Kitne Badal Gaye
Uss Ke Begair Kis Ko jeenay Ka Guman Tha
Hum Khud B Sochte Hain K Kese Sanbhal Gaye
Tamanna koi bhi mere dil ki poori na hui,
Chahat ka koi afsana na bana,
Aaj phir chali gayi zindagi nazron ke saamne se,
Aur usse baat karne ka koi bahana na bana.
Jane kis baat ki mujhko saza deta hai,
meri hasti hui ankhon ko rula deta hai.
Ek muddat se khabar bhi nahi teri,
koi is tarah bhi kya apne dost ko bhula deta hai.
Ansuo ko bahut Samjhaya tanhai me aya na karo,
Mehfil me humara mazak na udaya karo,
ispar ansu tadap kar bole,
itne logo me apko tanha pata hoon isiliye chala ata hoon
Tum Mujh ko Gudya kahtay ho
Theek Hi Kahtay ho______!
Khelnay walay Sub Hatoon ko
Main Gudya hi Lagti hoon
Jo Pahna Do, Mujh par Sajay ga
Mera koi Rung nahi
Jis Bachay k Haath Thama do
Meri Kissi say Jung Nahi..!!
Us Khuda ka shukar ha
Qaid-e-Adem se khalasi di
Or....... Mere Wajood ko zahir kiya
Or....... Mujh ko Hadayat ki
Or
Apni zaat ka Irfan mere Dil mein Naseeb kiya
Yahan tak...........
Ke mein ne Us ko Pehchan lia
Or Dekh Liya......!!
Maangu Bas Unhe
Yeh Ibaadat De De
Ai Khuda Tere Khazane Se
Thodi Si Mohabbat De De
Kaaash ! Woh Saath Nibhaye
Hamara Umr Bhar Ka
Ya Phir Unke Dar Par
Marne Ki Ijaazat De De.
Dill chahey woh koi baat karey
jab dill kay taar tootey hon
jab saarey mujh say roothey hon
jab aankhain meri beeghi hon
dill chahey woh koi baat karey