Zabt-e-gham is qadar

Zabt-e-gham is qadar
Zabt-e-gham is qadar aasaan nahi hay Faraz ...

Aag hote hain wo Aansoo jo piye jate hain.!~
  

Jun, 02 2010     94 chars (1 sms)     6835 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Mit gaye hain sab zakham,
Bas nishaan baaki reh gaya,
Saza puri ho gayi,
Karna gunaah baaki reh gaya...
shded dhoop se samjhota kon karta hai..

ghane darakht hi sabka thakana hate hain
Shiddatain...

Bay tahasha hai tujhay yaad kia
Aur bhulaya bhi bohat hai tujh ko
Sari rounaq hi teray dum say hai
Aur teray bikhray huay ghum say hai

Jis qadar
Mainay talluq tera mehsoos kia
Itni gehraayi tu rohoun main hua karti hai
Jis qadar
Mainay teri zaat ko khud main paaya

Itni yaqtaayi kahan milti hai
Faaslay waq''atain kho bethay hain
Doriyaan pheeki parheen
Itni shiddat say tujhay socha hai
Itni shiddat say tujhay chaha hai
Shiddatain ishq ki miraaj hua karti hain!!
Mera Humraaz Hai Har Rang Ka Mausam Lekin.
/
Sham-e-Afsurdah Mujhe Sab Sey Juda Janti Hain.
Baton Baton main bicharny ka ishara kar k,
Khud b roya bahut wo hum se kinara kar k,
Dekh lete hain chalo hosla apne dil ka,
Kuch roz tere bina guzara kar k
Ab Hogaya Jo Hona Tha,

Bas Itna Hi Mujhko Rona Tha,

Jis Dil Me Rahe Ho Tum Saalo Se,

Wo Tumhare Liye To Ek Khilona Tha.
ab nahi rahna hmein do suratoon k darmiyaan..

ya hmein chor day ya phir mulakatein kry.
wada na wfa krty wada tou kia hota,
umeed tou band jati taskeen tou ho jati,
Ager wo meherban hota tu
Meri aankh mein yeh jhilmilati nami na hoti
Meray dil ki wadi mein khazan ka qafla na rukta

Ager wo meherban hota tu
Meri benoor aankhon mein sitaaray qaid ker deta
Meri zakhmi hatheli pe ik phool dhar deta

Meray haton ko haton mein leker wo yeh kehta
Muhabat rang hai, khusbu hai,
Roshni hai , Sitara hai

Qasam muj ko muhabat ki
Muje tu sab se payara hai

Meger wo aisa tab kehta

AGER WO MEHERBAN HOTA
Raat yun dil mein teri, khoyi hui yaad aayi,
Jaise viraane mein chupke se bahaar aa jaye,
Jaise sahraaon mein haule se chale baad-e-naseem,
Jaise bimaar ko be-wajaah quraar aa jaaye.
Aaj rothay huway sajan ko bohat yaad kiya
Apnay ujray huway gulshan ko bohat yaad kiya
Jab kabhi gardish-e-taqdeer nay ghera hai hamein
Gaisuay yaar ki uljhan ko bohat yaad kiya
Shama ki joot pey jaltay huway parwano nay
Ek teray shula-e-daman ko bohat yaad kiya
Jis k mathay pey nae subah ka jhoomar ho ga
Hum nay us waqt ki dulhan ko bohat yaad kiya
Aaj totay huway seeno ki bohat yaad aei
Aaj beetay huway sawan ko bohat yaad kiya
Aaj sar-e-toor bhi mayoos-e-tajali hi rahi
Aaj daar-e-yaar ki chilman ko bohat yaad kiya
Mutmaen ho he gay dam-o-qafas mein sagar
Hum asseron nay nasheman ko bohat yaad kiya
Tumharay dam se thay sab rang o noor sab kaif o suroor
Tumharay baad tu sooraj ne aag bersaii
Kia khabar kon si zanjeer teray pairon main thi
Jo nibhaye nag aye piyar k waday tujh se
Wo jis ne khuaab bichaye thay teray rastay main
Wo shaksh ab bhi teri rah guzar main betha hai
Ja mujh ko agar chodd k jana hai zaroori
Haathoon main teray haath hain zanjeer nhin hai