Chooryaan hath mein thin
aur hathon mein uska haath b tha
sham-e-tanhayi bhi thi
rung aur noor ki barsaat b thi
mosamon ka junoon urooj per tha
dharkanon per b ikhtiyar na tha
uski madhosh nigahon mein talab pyar ka tha
kaanpte hathon se uske shugufta hathon mein
choorhyaan mujhse na pehnayi gayin
haan mager hath ghayal ho hi gaye
usne nazerein jhuka kar itna hi kaha
jayiye aapse nahi bolti
aapse itna bhi nahi hota..!!