UNHE KISSA-E-GAM

UNHE KISSA-E-GAM
UNHE KISSA-E-GAM SUNATE SUNATE
KATI RAATEIN AANSU BAHATE BAHATE

KAHI BUJH NA JAYE CHIRAAG-E-TAMANNA
CHIRAAG-E-MOHABBAT JALAATE JALAATE

KISSI KO KHABAR HI NAHI LUT GAYAA HU
MOHABBAT KI DUNIYA BASATE BASAATE

KEHDE KOI UNSE.....
WO KHUD BAAZ AAYE APNE SITAM SE
HUM THAK GAYE HAIN MANATE MANATE
  

Jun, 04 2010     304 chars (2 sms)     2526 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Ankhon Se Kyo Aansu Jhalak Jate Hain,

Tanhaiyo Me kyo Gam Yaad Aate Hain.

Aansu Ponch Kar Koi Ye To Bata De Hume,

Rulane Wale Hi Aksar Kyo Yaad Aate hain.
Dil or dunia main sirf itna fark hai
k is duniya main bohot sai log rehtay hain
or is dil mai sirf app....
DUA KEE SURAT MAIN US KEE KHATIR, JO MEREY HONTON SEY LFAZ NEKLEY, JO MEREE AANKHON SEY ASHAK NEKLE, UN K BADLEY MAIN AAY KHODYA, TU JAB BHEE US A NASEEB LEKHAN, UROOJ LEKHAN KAMAL LEKHNA, KABHEE NA LAFZE ZWAL LEKHNA.
zalzalay younhi Besabab nahi atay Faraz,

Koi dewana tah-e-khak tarapta hoga...
kar kar k min''nten teri aadat bigar di..

danista tujhe hmne sitamgar bana diya...
Aankh sey door na ho dil sey utar jaye ga
Waqt ka kya hai guzarta hai guzar jaye ga

Itna manoos na ho hilwat-e-ghum sey apni
Tu kabhi khud ko bhi dheikhey ga tu dar jaye ga

Tum sar-e-rah-e-wafa dheikhtye reh jao gey
Or wo baagh-e-rafaqat sey uttar jaye ga

Zindgi teri atta hai tu ye jaaney wala
Teri bukhshish ko teri dehleez per rakh jaye ga

Aankh sey door na ho dil sey utar jaye ga
Aik din bahroon k phool murjha jayeenge,
jab bhule se kabhi hum yaad aayeenge,
ahsas hoga tumhein humari dosti ka jab,
duur bahat duur hum tum se chale jayeenge!
kon ujra ho ga bhari duniya mai hamari tarha.

tu b na mila humko aur khud ko b ganwa bethe.
Aadmi esa dekha nahi hai,
Jiske chehre pe chehra nahi hai.

Kuchh kami mere chehre me hogi,
Aina koi jhoota nahi hai.

Kesi pathra gaee hain nigahen,
Tumko jis din se dekha nahin hai.

Kitne be khof hain ye parinde,
Inko mazhab ka khatra nahi hai.

Mil ke bichhde ho jis din se mujhse,
Mere ghar main ujala nahi hai.

Mot ka to bharosa hai lekin,
Zindgi ka bharosa nahi hai.

yun na khelo mere dil se `kausar''
Mera dil to khilona nahi hai.
Din kuch aisay guzaarta hai koi
Jaisay ehsaan utaarta hai koi
Dil mai kuch yun sambhaalta hun gham
Jaisay zevar sambhaalta hai koi
Aaina daikh kar tassali hui
Hum ko is ghar mai jaanta hai koi
Pakk gaya hai shajar pay phal shayad
Phir say pathar uchaalta hai koi
Der say goonjtay hain sanaatey
Jaisay hum ko pukaarta hai koi
Tum chaho tou

Aaj bhi hum

Apni saanso''n ka sheher

Tumhei''n sonp de''n

Sirf !!!

Beeti huii chahato''n k ewaz ... !!!
Hazaron gham hain lekin aankh se nikley nahi ansoo

Hum ehl e zerf hain peetay hian chulkaya nahi kertey.